Apney gird uthhai haiN jo deewareiN, mismaar karooN
tujh tak bhi pahunchoonga pehley apni had to paar karooN
aisey to naMumkin hai paimaish apney paikar ki
apney qad meiN saaya jorhooN ya saaya hamwaar karooN
shab bhar meiN jagooN aur uska khamyaaza Suraj bhugtey?
din kay hanstey gaatey manzar dekhney sey inkaar karooN
apni maujoN aur bhaNwar par mera bas chalta hi nahiN
warna meiN to phool ki soorat har kashti ko paar karooN
naSamajhi meiN apney haathoN qatl bhi to ho sakta hoon
pehley sipar to koi dhoondooN phir apni Ana par waar karoon
us ko hai maloom har ik rasta mujh meiN dar aaney ka
itney darwaazey haiN mujh meiN kis kis ko deewar karooN?
seedha sada maslehatoN ka eik taAluq hai us sey
kyuN jazbaat ki rau meiN beh kar Aasani dushwaar karooN?
;Shaad; isi kawish meiN khud ko sarf kiya ab tak meney
jin rangoN meiN sochooN khud ko ,un meiN hi izhaar karoon