Skip to main content

Posts

Showing posts from October, 2021

محبّت کی کہانی کا یہی انجام ہونا تھا

Muhabbat ki kahani ka yehi anjam hona tha  

Images poetry

 

Image poetry

 

بابا جانی کروٹ لے کر

  بابا جانی کروٹ لے کر  ہلکی آواز میں بولے                           بیٹا کل کیا منگل ہوگا؟                            گردن موڑے بِن ، میں بولا بابا کل تو بُدھ کا دن ہے بابا جانی سُن نہ پائے                          پھر سے پوچھا، کل کیا دن ہے                          تھوڑی گردن موڑ کے میں نے لہجے میں کچھ زہر مِلا کے منہ کو کان کی سیدھ میں لا کے                              دھاڑ کے بولا بُدھ ہے بابا                          آنکھوں میں دو موتی چمکے سُوکھے سے دو ہونٹ بھی لرزے لہجے میں کچھ شہد ملا کے                         ...

uski Palkon se Nind Chini thi

* اُسکی پلکوں سے نيند چَھنتی تھی * ميں نے ديکھا تھا اُن د نوں ميں اُسے جب وہ کھِلتے گلاب جيسا تھا اُسکی پلکوں سے نيند چَھنتی تھی اس کا لہجہ شراب جيسا تھا اُسکی زلفوںسے بھيگتی تھی گھٹا اسکا رُخ ماہتاب جيسا تھا لوگ پڑھتے تھے خال وخد اس کے وہ ادب کی کتاب جیسا تھا بولتا تھا زبان خوشبو کی لوگ سنتے تھے دھڑکنوں میں اسے میں نے دیکھا تھا ان دنوں میں اسے ساری آنکھیں تھیں آ ئنے اس کے سارے چہروں میں انتخاب تھا وہ سب سے گھل مل کے اجنبی رہنا اک دریا نما سراب تھا وہ خواب یہ ہے کہ وہ حقیقت تھا ٰیہ حقیقت ہے کویٔ خواب تھا وہ دل کی دھرتی پہ آسماں کی طرح صورت سایہ و سحاب تھا وہ اپنی نیند یں ا سی کی نذر ہویٗں  میں نے پایا تھا رتجگوں میں اُسے میں نے دیکھا تھا ان دنوں میں اسے ٰیہ مگر دیر کی کہا نی ہے یہ مگر دُور کا فسانہ ہے اُ سکے میرے مِلاپ میں حایٔل اب تو صد یوں بھرا زمانہ ہے دشتِ ہجراں کی شام جیسا ہے کیا خبر اِن دنوں وہ کیسا ہے میں نے دیکھا تھا اُن دنوں میں اسے محسن نقوی

Tere naam pe sari zindagi guzar sakti thi

تیرے نام پے ساری زندگی گزارسکتی تھی   

وہ شخص ایسا گیا لوٹ کر نہیں آیا

وہ شخص ایسا گیا لوٹ کر نہیں آیا   

مجبوریوں نے محبت کو مٹی میں ملا رکھا ہے

 

Aye Zindagi

 

sukhe hue daraKHt ke patton ko dekhna

  sukhe hue daraKHt ke patton ko dekhna phir chehra-e-hatyat ke zaKHmon ko dekhna   KHush-rangi-e-hayat ka paoge aks tum patthar uchhaal kar zara lahron ko dekhna   meri nazar mein ye bhi ibaadat KHuda ki hai shafqat bhari nigah se bachchon ko dekhna   is waste main pas hi rakhta hun aaina mushkil hai apni aankh se jazbon ko dekhna   taKHrib-e-kaenat ki zinda misal hai sahil pe intishaar ke zaKHmon ko dekhna   jakDenge ek din wahi rishton ke jal mein ho jae dhund saf to apnon ko dekhna    

zindagī ġhamgīn hotī jā rahī hai

 zindagī ġhamgīn hotī jā rahī hai  aarzū rañgīn hotī jā rahī hai      chāñd taare āsmānoñ meñ Tañge haiñ  raat kī taz.īn hotī jā rahī hai      zulm phir parvān chaḌhtā jā rahā hai  zabt kī tauhīn hotī jā rahī hai      samt-e-mashriq dekhtā huuñ maiñ ujālā  raat kī takfīn hotī jā rahī hai      shādmāñ sā hai 'nizāmī' āj-kal vo  ruuh kī taskīn hotī jā rahī hai    

shāḳh se phuul ko phir judā kar diyā

 shāḳh se phuul ko phir judā kar diyā  zaḳhm peḌoñ kā kis ne harā kar diyā      ek TukḌā ḳhushī kā thā rakkhā huā  jaane kis shaḳhs ne lāpata kar diyā      kyuuñ ta.alluq kī buniyād Dahne lagī  be-yaqīnī ko kis ne khaḌā kar diyā      pahle manzil dikhā.ī mujhe aur phir  band chāroñ taraf rāsta kar diyā      vaqt ḳhud apne chehre se Dar jā.egā  maiñ ne ehsās ko aa.ina kar diyā      kaun ḳhush-fahmiyāñ pāltā roz-o-shab  shukr hai zindagī ne rihā kar diyā      vaqt ne chaal kaisī chalī ai 'hasan'  dost jaise ko dushman-numā kar diyā

vasl kā mausam ho to ye sardiyāñ hī Thiik haiñ

                      vasl kā mausam ho to ye sardiyāñ hī Thiik haiñ hijr meñ qurbat kī ye parchhā.iyāñ hī Thiik haiñ kyā batā.ūñ maiñ ki tum ne kis ko sauñpī hai hayā is liye sochā mirī ḳhāmoshiyāñ hī Thiik haiñ ishq se bezār dil ye chīḳh kar kahne lagā ishq chhoḌo āshiqoñ tanhā.iyāñ hī Thiik haiñ is qadar ham ho chuke rusvā vafā k naam par ab sharāfat chhoḌ dī bad-nāmiyāñ hī Thiik haiñ aap ne chāhā judā.ī so alag ham ho ga.e kyā kaheñ ab aap kī ye marziyāñ hī Thiik haiñ ho na paa.e jab mukammal ishq kā qissa to phir shohrateñ rahne do ab gum-nāmiyāñ hī Thiik haiñ is se pahle ham judā hoñ kuchh bharam baaqī rahe darmiyāñ ab talḳh sī ye dūriyāñ hī Thiik haiñ bujh chukā jo kyoñ vo sulgā.ūñ mohabbat kā alaav ab talak jhelī jafā keī saḳhtiyāñ hī Thiik haiñ

آؤ دنیا بدلیںLet's change the world