shāḳh se phuul ko phir judā kar diyā
zaḳhm peḌoñ kā kis ne harā kar diyā
ek TukḌā ḳhushī kā thā rakkhā huā
jaane kis shaḳhs ne lāpata kar diyā
kyuuñ ta.alluq kī buniyād Dahne lagī
be-yaqīnī ko kis ne khaḌā kar diyā
pahle manzil dikhā.ī mujhe aur phir
band chāroñ taraf rāsta kar diyā
vaqt ḳhud apne chehre se Dar jā.egā
maiñ ne ehsās ko aa.ina kar diyā
kaun ḳhush-fahmiyāñ pāltā roz-o-shab
shukr hai zindagī ne rihā kar diyā
vaqt ne chaal kaisī chalī ai 'hasan'
dost jaise ko dushman-numā kar diyā
Comments
Post a Comment