vasl kā mausam ho to ye sardiyāñ hī Thiik haiñ
hijr meñ qurbat kī ye parchhā.iyāñ hī Thiik haiñ
kyā batā.ūñ maiñ ki tum ne kis ko sauñpī hai hayā
is liye sochā mirī ḳhāmoshiyāñ hī Thiik haiñ
ishq se bezār dil ye chīḳh kar kahne lagā
ishq chhoḌo āshiqoñ tanhā.iyāñ hī Thiik haiñ
is qadar ham ho chuke rusvā vafā k naam par
ab sharāfat chhoḌ dī bad-nāmiyāñ hī Thiik haiñ
aap ne chāhā judā.ī so alag ham ho ga.e
kyā kaheñ ab aap kī ye marziyāñ hī Thiik haiñ
ho na paa.e jab mukammal ishq kā qissa to phir
shohrateñ rahne do ab gum-nāmiyāñ hī Thiik haiñ
is se pahle ham judā hoñ kuchh bharam baaqī rahe
darmiyāñ ab talḳh sī ye dūriyāñ hī Thiik haiñ
bujh chukā jo kyoñ vo sulgā.ūñ mohabbat kā alaav
ab talak jhelī jafā keī saḳhtiyāñ hī Thiik haiñ
Comments
Post a Comment