mīr-e-mahfil na hue garmī-e-mahfil to hue
sham.a-e-tābāñ na sahī jaltā huā dil to hue
na sahī ḳhaak ke putloñ meñ sifāt-e-malakī
baare is bār-e-vafā ke mutahammil to hue
hausle dil ke mohabbat meñ jo piste hī rahe
kar ke himmat tire ġhamzoñ ke muqābil to hue
purshis-e-ġham-zadagāñ bahr-e-tafannun hī sahī
ḳhair se aap bhī is bazm meñ shāmil to hue
be-asar aah se bhī itnī tasallī hai zarūr
muñh takā karte the jo vo kisī qābil to hue
aan rakh lī tirī shamshīr-e-adā kī yuuñ bhī
jin ko marnā nahīñ aatā thā vo bismil to hue
sanad-e-sabr sahī paak diloñ ke nāsūr
aise maqtūl bhī ik tarah ke qātil to hue
rashk-e-dushman kī talāfī ko ye pahlū nahīñ kam
ġham-e-jāñ-kāh-e-mohabbat ke vo qātil to hue
ḳhud se dukh mol leñ ye kaam kuchh āsān na thā
khā ke ik choT maze dard ke hāsil to hue
ḳhud-kushī meñ to ḳhalal 'ārzū' aayā lekin
haath un ke mirī gardan meñ hamā.il to hue
Comments
Post a Comment