kis mast adā se aañkh laḌī matvālā banā lahrā ke girā
aage to haiñ rāheñ aur kaThin dil pahle hī Thokar khā ke girā
aage jo baḌhā tharrā.e qadam vo hañs jo diye sharmā ke girā
behosh nahīñ hoshyār thā maiñ uThne kā sahārā pā ke girā
dil shauq ke josh meñ dauḌ chalā aur josh to hotā hai andhā
dar band paḌā thā qismat kā Takkar jo lagī teyorā ke girā
jitnī bhī dil kī zarūrat thī bas utnī hī himmat-o-tāqat thī
raste kī khakheḌeñ jhel gayā paas aate hī maiñ chakrā ke girā
kyā ishq kī manzil bhī hai kaḌī bañdh bañdh kar himmat TuuT ga.ī
jo ek qadam chal kar sambhlā vo do qadam aage jā ke girā
sulgī huī hai ġham kī bhaTTī dil kyuuñ na pighal ke bane paanī
jo qatra aañsū ho ke bahā lahrā ke chalā teyorā ke girā
vo naala falak se Takrāyā vo 'ārzū' ik taarā TuuTā
dushman kī taraf jo lapkā thā sho.ala vo mujhī par aa ke girā
Comments
Post a Comment