Skip to main content

vo ban kar be-zabāñ lene ko baiThe haiñ zabāñ mujh se

 


vo ban kar be-zabāñ lene ko baiThe haiñ zabāñ mujh se 

ki ḳhud kahte nahīñ kuchh aur kahlavāte haiñ haañ mujh se 


bahut kuchh husn-e-zan rakhtā hai merā mehrbāñ mujh se 

ki tohmat dhar ke hai ḳhvāhān-e-tā.īd-e-bayāñ mujh se 


kisī gul kī qabā miltī nahīñ tahrīq se ḳhālī 

junūñ ne le ke bāñTī haiñ ye kitnī dhajjiyāñ mujh se 


pilā saaqī ki rah jaa.e ḳhumār-e-kaif kā parda 

bas ab ruktīñ nahīñ aatī huī añgḌā.iyāñ mujh se 


jo gul ko gul na samjhoge to kāñToñ hī meñ uljhoge 

na do apne ko dhokā aap ho kar bad-gumāñ mujh se 


bahut jaldī na kar ai chashm-e-tar kuchh der ko dam le 

bayāñ karnā vo tū rah jaa.e jitnī dāstāñ mujh se 


misāl-e-sham.a apnī aag meñ kyā aap jal jā.ūñ 

qisās-e-ḳhāmushī legī kahāñ tak ai zabāñ mujh se 


huiiñ tā-der pahchānī huī āvāz meñ bāteñ 

vo kuchh kuchh khul chale haiñ rakh ke parda darmiyāñ mujh se 


tasavvur kī nazar pardoñ ke roke ruk nahīñ saktī 

batā o jaane vaale chhup ke jā.egā kahāñ mujh se 


agar ai 'ārzū' har saañs dil kī aah ban jaa.e 

na hogī ḳhatm phir bhī merī lambī dāstāñ mujh se ki ḳhud kahte nahīñ kuchh aur kahlavāte haiñ haañ mujh se 


bahut kuchh husn-e-zan rakhtā hai merā mehrbāñ mujh se 

ki tohmat dhar ke hai ḳhvāhān-e-tā.īd-e-bayāñ mujh se 


kisī gul kī qabā miltī nahīñ tahrīq se ḳhālī 

junūñ ne le ke bāñTī haiñ ye kitnī dhajjiyāñ mujh se 


pilā saaqī ki rah jaa.e ḳhumār-e-kaif kā parda 

bas ab ruktīñ nahīñ aatī huī añgḌā.iyāñ mujh se 


jo gul ko gul na samjhoge to kāñToñ hī meñ uljhoge 

na do apne ko dhokā aap ho kar bad-gumāñ mujh se 


bahut jaldī na kar ai chashm-e-tar kuchh der ko dam le 

bayāñ karnā vo tū rah jaa.e jitnī dāstāñ mujh se 


misāl-e-sham.a apnī aag meñ kyā aap jal jā.ūñ 

qisās-e-ḳhāmushī legī kahāñ tak ai zabāñ mujh se 


huiiñ tā-der pahchānī huī āvāz meñ bāteñ 

vo kuchh kuchh khul chale haiñ rakh ke parda darmiyāñ mujh se 


tasavvur kī nazar pardoñ ke roke ruk nahīñ saktī 

batā o jaane vaale chhup ke jā.egā kahāñ mujh se 


agar ai 'ārzū' har saañs dil kī aah ban jaa.e 

na hogī ḳhatm phir bhī merī lambī dāstāñ mujh se 

Comments

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng