Skip to main content

Zami'n ko mai'n ne kabhi aasma'n na hone diya

Zami'n ko mai'n ne kabhi aasma'n na hone diya
Mata-e-khak ko yu'n rayega'n na hone diya

Sanam tarash ke phir us ki guftagu bhi suni
Ke mai'n ne sang ko bhi be zabaa'n na hone diya

Yeh raz kya hai ke arz-o-sama ke khalique ne
Kisi ko apne sewa jaaweda'n na hone diya

Tafooliyat mei'n hai insan mubtala ab tak
Kisi bhi daur ne us ko jawa'n na hone diya

Bahar ruk na saki mere rokne se "Nadim"
Magar chaman ko sapurde khaza'n na hone diya

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng