Skip to main content

DEE HAE WAHSHAT TOU YE WAHSHAT HEE MUSALSALL HO JAAEY...

 DEE HAI WAHSHAT TOU YE WAHSHAT HEE MUSALSALL HO JAAEY... 
RAQSS KARTA HUEY ATRAAF MEI'N JUNGLE HO JAAEY... 

 AEY MREY DASHHT MIJAAJO !YE MRI AANKHEI'N HAIN... 
INN SEY RUMAAL BHEE CHHU LO TOU YE BAADAL HO JAAEY... 

 CHALTAA REHNEY DO MIYAA'N SILSILLA DILDAARI KA... 
AASHQEE DEEN NAHIE'N HAE KEH MUKAMMAL HO JAAEY... 

 HAALAT-E-HIJRR MEIN JO RAQSS NAHIE'N KAR SAKTA... 
OOSS KEY HAQ MEI'N YEHEE BEHTAR HAE KEH PAAGAL HO JAAEY... 

 MERA DILL BHEE KISSI AASEIB ZADDA GHARR KEE TRAAH... 
KHUD'BA'KHUD KHULNEY,KHUD HEE MUQAFFAL HO JAAEY... 

 DOOBTI NAAO MEI'N SAB CHEEKH RAHEY HAIN TAABISH.. 
ORR MUJHEY FIQRR GHAZZAL MERI MUKAMMAL HO JAAEY..

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.