qarz hein teri mohabbat ka utaray jaty hein

qarz hein teri mohabbat ka utaray jaty 
aakhri saans bhi hum tujh pe hein waray jaty

eik tamanna liye phirty hein tere hijran naseeb
kash  eik bar tere lab se pukare jaty

dil ko ab tak nahin aaya tere jane ka yaqeen
warna lazim  tha ke mar jate,tumhare jaty

hum ko aaloda na kar sakti zamane ki hawa
teri qurbat mein jo kuch rooz nikharay jaty