mere naseeb ka yeh almia bhi kaisa hai

mere naseeb ka yeh almia bhi kaisa hai
ke jis se pyar karo ajnabi nikalta hai

kahaan se shaam utarti hai,din yeh charta hai
kahan se rooz yeh soraj bhala uchalta hai

koi to ho kahon haan yeh mera sathi hai
mare mizaj ki sab uljhanein samjhta hai

kesi ka gham hi to karta hai khokhala is ko
shajar wajod ka esay to kab ujarta hai

millay khushi bhi agar yeh to khush nahin hota 
millay jo zakham to yeh dil bada chahakta hai

woh jis ne bech bhanwar mein akela chorra tha
yeh dil aaj bhi iss ke liye machalta hai

humhee se door woh rahta hai dushman -e-jani
wagarna baat sabhi se woh huns ke karta hai

kya tha tu ne kabhi jis mein aataraf -e-wafa
woh khat to main ne aaj bhi sambhal rakha hai

hajoom sath ho phir bhi woh khoya rahta hai

suna hai shehr mein majid sa eik tanha hai