Soz-e-Gham De K Mujhe Us Ne Yeh Irshaad kiyaa

Soz-e-Gham De K Mujhe Us Ne Yeh Irshaad kiyaa
Jaa Tujhe Kash-Makash-e-Dehar Se Aazaad kiyaa,

Woh karen Bhi To kin Alfaaz Mein Tera Shikwaa
Jin ko Teri Nigaah-e-Lutf Ne Barbaad kiyaa,

... Dil ki Choton Ne kabhi Chain Se Rehnaa Na Diyaa
Jab Chali Sard Hawaa Maine Tujhe Yaad kiyaa,

Aise Mein Main Tere Taj-Takalluf Pe Nisaar
Pher To Farmaaye Wafaa Aap Ne Irshaad kiyaa,

Is Kaa Ronaa Nahi kiyon Tumne kiyaa Dil Barbaad
Is kaa Gham Hai K Bohut Der Mein Barbaad kiyaa,

Itnaa Masoom Hoon Fitrat Se, kalii Jab Chatki
Jhuk K Maine kahaa, Mujhse kuch Irashaad kiyaa,

Meri Har Saans Hai Is Baat ki Shaahid-e-Maot
Maine Har Lutf K Maoqe Pe Yujhe Yaad kiyaa,

Mujhko To Hosh Nahi Tumko Khabar Ho Shaayad
Log kehte Hain K Tumne Mujhe Barbaad kiyaa,

Woh Tujhe Yaad kare Jis Ne Bhulaayaa Ho kabhi
Hum Ne Tujh ko Na Bhulaaya Na kabhi Yaad kiyaa,

kuch Nahi Is K Siwaa "Josh" Hareefon Ka kalaam
Wasl Ne Shaad kiyaa Hijr Ne Naashaad kiyaa.