ye aur baat teri gali mein na aayen ham

ye aur baat teri gali mein na aayen ham
lekin ye kya ki shahar teraa chod jaayen ham

muddat hui hai kuu e butaan kii taraf gaye
aawaaragi se dil ko kahan tak bachaayen ham

... shaayad ba qaid e zeest ye saa'at na aa sake
tum daastaan e shauq suno aur sunaayen ham

be noor ho chukii hai bahut shahar ki fazaa
taareek raaston mein kahin kho na jaayen ham

us k bagair aaj bahut jee udaas hai
Jalib chalo kahin se use dhoondh laayen ham