Skip to main content

Posts

Showing posts from April, 2012

Gurez Shab Se, Shaher Se Kalaam Rakhte Thay

    Gurez Shab Se, Shaher Se Kalaam Rakhte Thay Kabhi Woh Din Thay K Zulfun Mein Shaam Rakhte Tahy, Tumhare Haath Lage Hain, Jo Ab Karo, So Karo Wagarna Tum Se To Hum So Ghulaam Rakhte Tahy, ... Humen Bhi Gher Liya Ghar Kay Za`am Ne, To Khula Kuch Aur Log Bhi Is Mein Qiyaam Rakhte Tahy, Woh Aa To Jaata Kabhi, Hum To Us Kay Raston Par Diye Jalaaye Howe Subah-o-Shaam Rakhte Tahy, Na Jaane Kon Si Rutt Mein Cher Gaye Woh Log Jo Apne Dil Mein Boht Ehtraam Rakhte Thay.

abhi kya kahen abhi kya sunayen

abhi kya kahen abhi kya sunayen ke sar-e-fasil-e-sukut-e-jan kuf-e-roz-o-shab pe sharar numa wo jo harf jarf charag tha use kis hawa ne bujha diya kabhi lab hilenge to puchna sar-e-sahar-e-ahad-e-wisal-e-dil wo jo nikahaton ka hujum tha use dast-e-mauj-e-firaq ne tah-e-khak kab se mila diya kabhi gul khilenge to puchna abhi kya kahen abhi kya sunayen yun hi khwahishon k fishar main kabhi be-sabab kabhi bekhalal kahan kaun kis se bichar gaya kise kis ne kaise ganwa diya kabhi phir milenge to puchna

bichar k mujh se kabhi tu ne ye bhi socha hai

bichar k mujh se kabhi tu ne ye bhi socha hai adhura chand bhi kitna udas lagta hai ye wasl ka lamha hai ise rayegan na samajh k is k bad wahi duriyon ka sahara hai kuch aur der na jharta udasiyon ka shajar kise khabar tere saye main kaun baitha hai ye rakh-rakhao muhabbat sikha gai us ko wo ruth kar bhi mujhe muskura k milta hai main kis tarah tujhe dekhun nazar jhijhakti hai tera badan hai k ye ainon ka dariya hai

mar hi dal mujhe chasm-e-ada se pahle

mar hi dal mujhe chasm-e-ada se pahle apni manzil ko pahunch jaun qaza se pahle ik nazar dekh lun a jao qaza se pahle tum se milne ki tamanna hai Khuda se pahle hashr k roz main puchunga Khuda se pahle tu ne roka nahin kyun mujhko khata se pahle ai meri maut thahar unko zara ane de zahar ka jam na de mujhko dawa se pahle hath pahunche bhi na the zulf dota tak hathkari dal di zalim ne khata se pahle

jab se us ne shahar ko chora har rasta sunsan hua

jab se us ne shahar ko chora har rasta sunsan hua apna kya hai sare shahar ka ik jaisa nuksan hua mere hal pe hairat kaisi dard k tanha mausam main pathar bhi ro parte hain insan to phir insan hua us k zakhm chupa kar rakhiye khud us shakhs ki nazron se us se kaisa shikawa kije wo to abhi nadan hua yun bhi kam amez tha "Mohsin" wo is shahar k logon main lekin mere samne akar aur hi kuch anjam hua

ret par likh k mera nam mitaya na karo

ret par likh k mera nam mitaya na karo ankhen sach bolti hain pyar chupaya na karo log har bat ka afsana bana lete hain sab ko halat ki rudad sunaya na karo ye zaruri nahin har shakhs masiha hi ho pyar k zaKhm amanat hain dikhaya na karo shahar-e-ehsas main patthar bahut hain 'Mohsin' dil ko shishe ke jharonkhon main sajaya na karo

zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi

zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki did ka rasta badal k chalne ki adat use bhi thi us rat der tak wo raha mahw-e-guftagu masruf main bhi kam tha faragat use bhi thi sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan taza rafaqaton ki zarurat use bhi thi mujh se bichar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs halanke shahar bhar se raqabat use bhi thi wo mujh se barh k zabt ka adi tha ji gaya warna har ek sans qayamat use bhi thi

Aaj dekh lete hain wusatai'n kaha'n tak hai'n

Aaj dekh lete hain wusatai'n kaha'n tak hai'n Dasht aur iss dil ki wehshatai'n kaha'n tak hai'n Ikk sawaal karte hai'n har qadam pe ruk ruk kar Dil terey irado'n ki himmatai'n kaha'n tak hai'n Aa'oo jhanch lete hai'n dard k tarazoo par Kiss ka gham kaha'n tak hai shiddatai'n kaha'n tak hain Kuch aziz laugo'n se poochhna to parta hai Aaj kal mohabbat ki qimatai'n kaha'n tak hai'n Aik shaam aa ja'oo khul k haal e dil keh lain Kaun janey sanso'n ki mohlatai'n kaha'n tak hai'n

zauq-e-sitam junuuN kee hadoN se guzar gayaa

zauq-e-sitam junuuN kee hadoN se guzar gayaa kam-zarf zindaa rah gaye, insaan mar gayaa Gham Khaanaa-e-jahaaN meN kise jurrat-e-qayaam meraa hi hausla thaa, do din TheHar gayaa hai shiddat-e-Khuloos ek zurm-e-aashiquii parwaana jal ke shamma ko badnaam kar gayaa baiThe haiN aaj aaiinaa-e-?? le ke wo ab jaaniye ke nazm-e-do aalam saNwar gayaa lillah ! aap mujhse muHabbat na keejiye do roz hi meN aapkaa chehraa utar gayaa pehle tau zindagii kee tamanna thii ishq meiN ab dhuuNdhtaa huN maiN, meraa qaatil kidhar gayaa rah kar tilism-e-Khaana-e-hastii meiN tau maiN Khud apne hi saaye se Darr gayaa

asar usko zara nahin hota

asar usko zara nahin hota ranj rahat faza nahin hota tum hamare kisi tarah na hue warna duniya main kya nahin hota narasai se dam ruk to ruk main kisi se khafa nahin hota tum mere pas hote ho goya jab koi dusra nahin hota hal-e-dil yar ko likhun kyon kar hath dil se juda nahin hota kyon sune arz-e-muztarib ae 'Momin' sanam akhir Khuda nahin hota

Dar to mujhe kiska hai k main kuch nahin kahta

Dar to mujhe kiska hai k main kuch nahin kahta par hal ye afshan hai k main kuch nahin kahta naseh ye gila hai k main kuch nahin kahta tu kab meri sunta hai k main kuch nahin kahta kuch gair se honthon main kahe hai pe jo pucho to wahin mukarta hai k main kuch nahin kahta naseh ko jo chahun to abhi thik bana dun par khauf Khuda ka hai k main kuch nahin kahta chup k se tere milne ka ghar walon main tere is waste charcha hai k main kuch nahin kahta ai charagaro qabil-e-darman nahin ye dard warna mujhe sauda hai k main kuch nahin kahta har waqt hai dushnam har ek bat pe tana phir is pe bhi kahta hai k main kuch nahin kahta "Momin" ba-Khuda sihar bayani ka jabhi tak har ek ko dawa hai k main kuch nahin kahta

jalta hun hijr-e-shahid-o-yad-e-sharab main

jalta hun hijr-e-shahid-o-yad-e-sharab main shauq-e-sawab ne mujhe dala azab main kahte hain tum ko hosh nahin iztarab main sare gile tamam hue ek jawab main phaili shamim-e-yar mere ashk-e-surKh se dil ko gazab fishar hua pech-o-tab main rahte hain jama kucha-e-janan main khas-o-am abad ek ghar hai jahan-e-kharab main badnam mere giriya-e-ruswa se ho chuk ab uzr kya raha nigah-e-behijab main matlab ki justaju ne ye kya hal kar diya hasrat bhi nahin dil-e-nakamayab main nakamiyon se kam raha umr bhar hamain piri main yas hai jo hawas thi shabab main kya jalwe yaad aye k apni khabar nahin be-bada mast hun main shab-e-mahtab main paiham sajud pa-e-sanam par dam-e-wida "Momin" Khuda ko bhul gaye iztarab main

nawak andaz jidhar dida-e-janan honge

nawak andaz jidhar dida-e-janan honge nim-bismil kai honge kai bejan honge tab-e-nazara nahin aina kya dekhne dun aur ban jayenge taswir jo hairan honge tu kahan jayegi kuch apna thikana kar le ham to kal khwab-e-adam main shab-e-hijran honge phir bahar ai wahi dasht-e-nawardi hogi phir wahi paon wahi khar-e-muglan honge nasiha dil main tu itna to samajh apne k ham lakh nadan huye kya tujh se bhi nadan honge ek ham hain k huye aise pasheman k bas ek wo hain k jinhen chah k arman honge minnat-e-hazrat-e-isa na uthayenge kabhi zindagi k liye sharminda-e-ehsan honge umr to sari kati ishq-e-butan main "Momin" ab akhiri waqt main kya khak musalaman honge

roya karenge ap bhi pahron isi tarah

roya karenge ap bhi pahron isi tarah atka kahin jo ap ka dil bhi meri tarah na tab hijr main hai na aram wasl main kambakht dil ko chain nahin hai kisi tarah gar chup rahen to gam-e-hijran se chut jayen kahte to hain bhale k wo lekin buri tarah na jaye wan bane hai na bin jaye chain hai kya kijiye hamain to hai mushkil sabhi tarah lagti hain galiyan bhi teri mujhe kya bhali qurban tere, phir mujhe kah le isi tarah hun janbalab butan-e-sitamgar k hath se kya sab jahan main jite hain "Momin" isi tarah

shab -e-gam-e-furqat hamain kya kya maze dikhalae tha

                                shab -e-gam-e-furqat hamain kya kya maze dikhalae tha  dam ruk tha sine main kambakht ji ghabrae tha bal be ayari adu k age wo paiman shikan wada-e-wasl phir karta tha aur sharmae tha sun k meri marg bole mar gaya acha hua kya bura lagta tha jis dam samne a jae tha bat shab ko us k mana-e-beqarari se bari ham to samjhe aur kuch wo aur kuch samjhae tha koi din to us pe kya taswir ka alam raha har koi hairat ka putla dekh kar ban jae tha su-e-sahra le chale us ku se meri nash hae tha yahi dar in dinon talwa mera khujlae tha ho gai do roz ki ulfat main kya halat abhi "Momin"-e-wahshi ko dekha is taraf se jae tha

shab tum jo bazm-e-gair main ankhen chura gaye

shab tum jo bazm-e-gair main ankhen chura gaye khoye gaye ham aise k agyar pa gaye majalis main us ne pan diya apne hath se agyar sabz bakht the ham zahar kha gaye gairon se ho wo pardanashin kyon na behijab dam hay be-asar mere parda utha gaye waiz k zikr-e-mehar-e-qayamat ko kya kahun alam shab-e-wasl k ankhon main cha gaye duniya hi se gaya main jo nahin naz se kaha ab bhi guman-e-bad na gaye tere ya gaye ai "Momin" ap kab se hue banda-e-butan bare hamare ??? main hazrat bhi a gaye

thani thi dil main ab na milenge kisi se ham

thani thi dil main ab na milenge kisi se ham par kya kare k ho gaye nachar ji se ham ham se na bolo tum ise kya kahte hain bhala insaf kije puchte hain ap hi se ham kya gul khilega dekhiye hai fasl-e-gul to dur aur su-e-dasht bhagte hain kuch abhi se ham kya dil ko le gaya koi begana ashna kyun apne ji ko lagate hain kuch ajanabi se ham

wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho

wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho wahi yani wada nibah k tumhen yad ho k na yad ho wo naye gile wo shikayaten wo maze maze ki hikayaten wo har ek bat pe ruthna tumhen yad ho k na yad ho koi bat aisi agar hui jo tumhare ji ko buri lagi to bayan se pahle hi bhulna tumhen yad ho k na yad ho suno zikr hai kai sal ka, koi wada mujh se tha ap ka wo nibahane ka to zikr kya, tumhen yad ho k na yad ho kabhi ham main tum main bhi chah thi, kabhi ham se tum se bhi rah thi kabhi ham bhi tum bhi the ashna, tumhen yad ho k na yad ho hue itefaq se gar baham, wo wafa jatane ko dam-ba-dam gila-e-malamat-e-arqaba, tumhen yad ho k na yad ho wo jo lutf mujh pe the beshtar, wo karam k hath mere hath par mujhe sab hain yad zara zara, tumhen yad no k na yad ho kabhi baithe sab hain jo ru-ba-ru to isharaton hi se guftagu wo bayan shauq ka barmala tumhen yad ho k na yad ho wo bigarna wasl ki rat ka, wo na manana kisi bat ka wo nahin n

ah! ye barani raat

ah! ye barani raat minh, hawa, tufan, raqs-e-sayeqat shash-jahat par tirgi umari hui ek sanate main bazm-e-hadsat aur meri khirki k niche kanpate peron k pat char su awara hain bhule bisre waqayat jhakkaron k shor main jane kitni dur se sun raha hun teri bat

Bechain bahut phirna ghabaraye hue rahna

Bechain bahut phirna ghabaraye hue rahna ik ag si jazbon ki bahakaye hue rahna chalkaye hue chalana khushbu-e-begani ki ik bag sa tha apna mahkaye hue rahna is husn ka shewa hai, jab ishq nazar aye parde main chale jana, sharmaye hue rahna ik sham si kar rakhna kajal k karishme se ik chand sa ankhon main chamkaye hue rahna adat hi bana li hai tum ne to "Munir" apni jis shahar main bhi rahna uktaye hue rahna

chaman main rang-e-bahar utra to main ne dekha

chaman main rang-e-bahar utra to main ne dekha nazar se dil ka gubar utra to main ne dekha main nim shab azma k hasrat ko dekhta tha chaman main wo husn zar utra to main ne dekha khumar mai thi wo chehra kuch aur lag raha tha dam-e-sahar jab khumar utra to main ne dekha gali k bahar tamam manzil badal gaye the jo saya ek ku-e-yar utra to main ne dekha ik aur dariya ka samna tha 'Munir' mujh ko main ek dariya k par utra to main ne dekha

dar k kisi se chup jata hai jaise sanp khazane main

dar k kisi se chup jata hai jaise sanp khazane main zar k zor se zinda hain sab khak k is wirane main jaise rasm ada karte hon shahron ki abadi main subah ko ghar se dur nikal kar sham ko wapis ane main nile rang main dubi ankhen khuli pari thin sabze par aks para tha asman ka shayad is paimane main dil kuch aur bhi sard hua hai sham-e-shahar ki raunaq main kitni ziya be-sud gai hai shishe k lafz jalane main main to 'Munir' aine main khud ko tak kar hairan hua ye chehra kuch aur tarah tha pahle kisi zamane main

ghum ka wo zor ab mere andar nahin raha

ghum ka wo zor ab mere andar nahin raha is umr main main itna samarwar nahin raha is ghar main jo kashish thi gai un dinon k sath is ghar ka saya ab mere sar par nahin raha wo husn-e-naubahar abad shauq jism sun rahna tha us ko sath mere par nahin raha mujh main hi kuch kami thi ki behtar main un se tha main shahar main kisi k barabar nahin raha rahbar ko un k hal ki ho kis tarah khabar logon k darmiyan wo akar nahin raha wapas na ja wahan ki tere shahar main 'Munir' jo jis jagah pe tha wo wahan par nahin raha

ghum ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin

ghum ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin tune mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahin nind ka halka gulabi-sa khumar ankhon main tha yun laga jaise wo shab ko der tak soya nahin har taraf diwar-o-dar aur un main ankhon ka hujum kah sak jo dil ki halat wo lab-e-goya nahin jurm adam ne kiya aur nasl-e-adam ko saza katta hun zindagi bhar main ne jo boya nahin janta hun ek aise shakhs ko main bhi 'Munir' gam se pathar ho gaya lekin kabhi roya nahin

hamesha der kar deta hun main

hamesha der kar deta hun main zaruri bat kahni ho koi wada nibhana ho use awaz deni ho use wapas bulana ho hamesha der kar deta hun main madad karni ho uski yar ki dharas bandhana ho bahut derina raston par kisi se milne jana ho hamesha der kar deta hun main badalte mausamon ki sair main dil ko lagana ho kisi ko yad rakhna ho kisi ko bhul jana ho hamesha der kar deta hun main kisi ko maut se pahle kisi gam se bachna ho haqiqat aur thi kuch us ko ja k ye batana ho hamesha der kar deta hun main

khalish-e-hijr-e-dayami na gai

khalish-e-hijr-e-dayami na gai tere rukh se ye berukhi na gai puchte hain k kya hua dil ko husn walon ki sadgi na gai sar se sauda gaya muhabbat ka dil se par is ki bekali na gai aur sab ki hikayaten kah din bat apni kabhi kahi na gai ham bhi ghar se 'Munir' tab nikle bat apnon ki jab sahi na gai

hawa ki awaz

hawa ki awaz khushk paton ki sarsarahat se bhar gai rosh-rosh par fatada phulon ne lakhon nauhe jaga diye hain sileti shuayen buland peron par gul machate siyah kawon ki qafilon se ati hui hain har ek janib khizan k qasid lapak rahe hain har ek janib khizan ki awaz gunjati hai har ek basti kashkash-e-marg-o-zindagi se nidhal hokar musafiron ko pukarti hai k- ao mujh ko khizan k bemahar talKh ehsas se bachao

wo din bhi ane wala hai

wo din bhi ane wala hai jab teri in kali ankhon main har jazba mit jayega tere bal jinhen dekhen to sawan ki ghanaghor ghatayen ankhon main lahrati hain honth rasile dhyan main lakhon phulon ki mahkar jagayen wo din dur nahin jab in par patjhar ki rut cha jayegi aur us patjhar k mausam ki kisi aekli sham ki chup main gaye dinon ki yad ayegi jaise koi kisi jangal main git suhane gata hai tujh ko pas bulata hai

phul the badal bhi tha aur wo hasin surat bhi thi

phul the badal bhi tha aur wo hasin surat bhi thi dil main lekin aur hi ek shaql ki hasrat bhi thi jo hawa main ghar banaye kash koi dekhta dasht main rahte the par tamir ki adat bhi thi kah gaya main samne us k jo dil ka mudda kuch to mausam bhi ajab tha kuch meri himmat bhi thi   ajnabi shahron main rahte umr sari kat gai go zara se fasle par ghar ki har rahat bhi thi kya qayamat hai "Munir" ab yad bhi ate nahin wo purane ashna jin se hamain ulfat bhi thi

kabhi kisi bam k kinare

kabhi kisi bam k kinare ugre huye per k sahare mujhe mili hain wo mast ankhen jo dil k patal main utar kar gaye dinon ki gufa main jhonk kabhi kisi ajnabi nagar main kisi akele udas ghar main parirukhon ki hasin sabhayen koi bahar-e-gurez payen kabhi sar-e-rah sar-e-ku kabhi pas-e-dar kabhi lab-e-ju mujhe mili hain wahi nigahen jo ek lamhe ki dosti main hazar baton ko kahna chahen

us bewafa ka shahar hai aur ham hain dosto

us bewafa ka shahar hai aur ham hain dosto ashk-e-rawan ki nahar hai aur ham hain dosto sham-e-alam dhali to chali dard ki hawa raton ka pichla pahar hai aur ham hain dosto ankhon main ur rahi hai luti mahfilon ki dhul ibrat bara-e-dahar hai aur ham hain dosto ye ajnabi si manzilen aur raftagan ki yad tanhaiyon ka zahar hai aur ham hain dosto

us simt mujh ko yar ne jane nahin diya

us simt mujh ko yar ne jane nahin diya ek aur shahar-e-yar main ane nahin diya kuch aur waqt chahte the k sochen tere liye tune wo waqt ham ko zamane nahin diya manzil hai is mahak ki kahan kis chaman main hai is ka pata safar main hawa ne nahin diya roka ana ne kawish-e-besud se mujhe us but ko apna hal sunane nahin diya hai jis k bad ahad-e-zawal-ashna "Munir" itna kamal ham ko Khuda ne nahin diya

zinda rahen to kya hai jo mar jayen ham to kya

zinda rahen to kya hai jo mar jayen ham to kya duniya main khamoshi se guzar jayen ham to kya hasti hi apni kya hai zamane k samne ek khwab hain jahan main bikhar jayen ham to kya ab kaun muntazir hai hamare liye wahan sham a gai hai laut k ghar jayen ham to kya dil ki khalish to sath rahegi tamam umr dariya-e-gam k par utar jayen ham to kya

ab k barsat ki rut aur bhi bharkili hai

ab k barsat ki rut aur bhi bharkili hai jism se ag nikalti hai, qaba gili hai sochta hun k ab anjam-e-safar kya hoga log bhi kanch k hain, rah bhi pathrili hai shiddat-e-karb main to hansna karb hai mera hath hi sakht hain zanjir kahan dhili hai gard ankhon main sahi dag to chehre pe nahi lafz dhundhale hain magar fikr to chamkili hai ghol deta hai samaat main wo mitha lahja kis ko malum k ye qind bhi zahrili hai pahle rag-rag se meri khun nichora us ne ab ye kahata hai k rangat hi meri pili hai mujhko be-rang hi na karde kahin rang itne sabz mausam hai, hawa surkh, fiza nili hai meri parwaz kisi ko nahi bhati to na bhaye kya karun zehan "Muzaffar" mera jibraili ha

lab-e-khamosh se izhar-e-tamanna chahe

lab-e-khamosh se izhar-e-tamanna chahe bat karne ko bhi taswir ka lahja chahe tu chale sath to ahat bhi na aye apni darmiyan ham bhi na ho yun tujhe tanha chahe zahiri ankhon se kya dekh sakega koi apne baton pe bhi ham fash hona chahe jism-poshi ko mile chadar-e-aflak hamain sar chupane k liye wusat-e-sehra chahe khwab main roye to ehsas ho sairabi ka ret par soyen magar ankh main dariya chahe bhent char jaun na main apne hi khair-o-shar ki khun-e-dil zabt kare zakhm tamasha chahe zindagi ankh se ojhal ho magar khatm na ho ek jahan aur pas-e-parda-e-duniya chahe aj ka din to chalo kat hi gaya jaise bhi kata ab Khuda-bande se khairiyat-e-farda chahe aise tairak bhi dekhe hain 'Muzaffar' hamne garq hone k liye bhi jo sahra chahe

mana k musht-e-khak se barhkar nahi hun main

mana k musht-e-khak se barhkar nahi hun main lekin hawa k raham-o-karam par nahi hun main insan hun dharakte huye dil pe hath rakh yun dubkar na dekh samundar nahi hun main chehre pe mal raha hun siyahi nasib ki aina hath main hai sikander nahi hun main galib teri zamin main likhi to hai gazal tere kad-e-sukhan k barabar nahi hun main

meri zindagi kisi aur ki, mere nam ka koi aur hai

meri zindagi kisi aur ki, mere nam ka koi aur hai mera aks hai sar-e-aina, pase aina koi aur hai meri dharkanon main hai chap si, ye judai bhi hai milap si mujhe kya pata, mere dil bata, mere sath kya koi aur hai na gae dinon ko khabar meri, na sharik-e-hal nazar teri tere des main, mere bhes main, koi aur tha koi aur hai wo meri taraf nigran rahe, mera dhyan jane kahan rahe meri ankh main kai suraten, mujhe chahta koi aur hai

shola hun bharakne ki guzarish nahi karta

shola hun bharakne ki guzarish nahi karta sach munh se nikal jata hai koshish nahi karta girti hui diwar ka hamdard hun lekin charjte hue suraj ki parastish nahi karta mathe k pasine ki mahak aye to dekhen wo khun mere jism main gardish nahi karta hamdardi-e-ahbab se darta hun 'Muzaffar' main zakhm to rakhta hun numaish nahi karta

aj to be-sabab udas hai ji

aj to be-sabab udas hai ji ishq hota to koi bat bhi thi jalta phirta hun kyun do-pahron main jane kya chiz kho gai meri wahin phirta hun main bhi khak ba-sar is bhare shahar main hai ek gali chupta phirta hai ishq duniya se phailti ja rahi hai ruswai hamnashin kya kahun k wo kya hai chor ye bat nind urane lagi aj to wo bhi kuch khamosh sa tha main ne bhi us se koi bat na ki ek dam us k hath chum liye ye mujhe baithe baithe kya sujhi tu jo itna udas hai 'Nasir' tujhe kya ho gaya bata to sahi

araish-e-khayal bhi ho dilkusha bhi ho

araish-e-khayal bhi ho dilkusha bhi ho wo dard ab kahan jise ji chahta bhi ho ye kya k roz ek sa gam ek si ummid is ranj-e-bekhumar ki ab inteha bhi ho ye kya k ek taur se guzre tamam umr ji chahta hai ab koi tere siwa bhi ho tute kabhi to khwab-e-shab-o-roz ka tilism itne hujum main koi chehra naya bhi ho diwangi-e-shauq ko ye dhun hai in dinon ghar bhi ho aur be-dar-o-diwar sa bhi ho juz dil koi makan nahi dahar main jahan rahzan ka khauf bhi na rahe dar khula bhi ho har zarra ek mahmil-e-ibrat hai dasht ka lekin kise dikhaun koi dekhta bhi ho har shay pukarti hai pas-e-parda-e-sukut lekin kise sunaun koi hamnawa bhi ho fursat main sun shaguftagi-e-guncha ki sada ye wo sukhan nahi jo kisi ne kaha bhi ho baitha hai ek shakhs mere pas der se koi bhala-sa ho to hamain dekhta bhi ho bazm-e-sukhan bhi ho sukhan-e-garm k liye taus bolta ho to jangal hara bhi ho

apni dhun main rahta hun

apni dhun main rahta hun main bhi tere jaisa hun o pichli rut k sathi ab k baras main tanha hun teri gali main sara din dukh k kankar chunta hun mujh se ankh milaye kaun main tera aina hun mera diya jalaye kaun main tera khali kamra hun tu jiwan ki bhari gali main jangal ka rasta hun apni lahar hai apna rog dariya hun aur pyasa hun ati rut mujhe royegi jati rut ka jhonka hun

dayar-e-dil ki rat main chirag sa jala gaya

dayar-e-dil ki rat main chirag sa jala gaya mila nahi to kya hua wo shaql to dikha gaya judaion k zakhm dard-e-zindagi ne bhar diye tujhe bhi nind a gai mujhe bhi sabr a gaya ye subah ki safediyan ye dopahar ki zardiyan ab aine main dekhta hun main kahan chala gaya pukarti hain fursaten kahan gai wo sohbaten zamin nigal gai unhen ya asman kha gaya wo dosti to khair ab nasib-e-dushmanan hui wo choti choti ranjishon ka lutf bhi chala gaya ye kis khushi ki ret par gamon ko nind a gai wo lahar kis taraf gai ye main kahan sama gaya gaye dinon ki lash par pare rahoge kab talak utho amalkasho utho k afatab sar pe a gaya

dil dharakne ka sabab yad aya

dil dharakne ka sabab yad aya wo teri yad thi ab yad aya aj mushkil tha sambhalna ai dost tu musibat main ajab yad aya din guzra tha bari mushkil se phir tera wada-e-shab yad aya tera bhula hua paiman-e-wafa mar rahenge agar ab yad aya phir kai log nazar se guzre phir koi shahar-e-tarab yad aya hal-e-dil ham bhi sunate lekin jab wo rukhsat hue tab yad aya baith kar saya-e-gul main 'Nasir' ham bahut roye wo jab yad aya

dil main ik lahar si uthi hai abhi

dil main ik lahar si uthi hai abhi koi taza hawa chali hai abhi shor barpa hai khana-e-dil main koi diwar si giri hai abhi kuch to nazuk mizaj hain ham bhi aur ye chot bhi nai hai abhi bhari duniya main ji nahi lagta jane kis chiz ki kami hai abhi tu sharik-e-sukhan nahi hai to kya ham-sukhan teri khamoshi hai abhi yad k be-nishan jaziron se teri awaz a rahi hai abhi shahar k becharag galiyon main zindagi tujh ko dhundti hai abhi so gaye log us haweli k ek khirki magar khuli hai abhi tum to yaro abhi se uth baithe shahar main rat jagti hai abhi waqt acha bhi ayega 'Nasir' gam na kar zindagi pari hai abhi

dukh ki lahar ne chera hoga

dukh ki lahar ne chera hoga yad ne kankar phenka hoga aj to mera dil kahta hai tu is waqt akela hoga mere chume hue hathon se auron ko khat likhta hoga bhig chalin ab rat ki palkain tu ab thak kar soya hoga rel ki gahri siti sun kar rat ka jangal gunja hoga shahar k khali steshan par koi musafir utra hoga angan main phir chiriyan bolen tu ab so kar utha hoga yadon ki jalti shabnam se phul sa mukhra dhoya hoga moti jaisi shaql banakar aine ko takta hoga sham hui ab tu bhi shayad apne ghar ko lauta hoga nili dhundhli khamoshi main taron ki dhun sunta hoga mera sathi sham ka tara tujh se ankh milata hoga sham k chalte hath ne tujh ko mera salam to bheja hoga pyasi kurlati kunjun ne mera dukh to sunaya hoga main to aj bahut roya hun tu bhi shayad roya hoga 'Nasir' tera mit purana tujh ko yad to ata hoga

girifta-dil hain bahut aj tere diwane

girifta-dil hain bahut aj tere diwane Khuda kare koi tere siwa na pahchane miti miti si ummiden thak thak se khayal bujhe bujhe se nigahon main gam k afsane hazar shukr k ham ne zuban se kuch na kaha ye aur bat k pucha na ahal-e-duniya ne baqadr-e-tashnalabi pursish-e-wafa na hui chalak k rah gaye teri nazar k paimane khayal a gaya mayus rahguzaron ka palat k a gaye manzil se tere diwane kahan hai tu k tere intazar main ai dost tamam rat sulagate rahe dil k wirane ummid-e-pursish-e-gam kis se kijiye 'Nasir' jo mere dil pe guzarti hai koi kya jane

hoti hai tere nam se wahshat kabhi kabhi

hoti hai tere nam se wahshat kabhi kabhi barham hui hai yun bhi tabiyat kabhi kabhi ai dil kise nasib ye taufiq-e-iztirab milti hai zindagi main ye rahat kabhi kabhi tere karam se ai alam-e-husn-e-afrin dil ban gaya hai dost ki khilwat kabhi kabhi dil ko kahan nasib ye taufiq-e-iztirab milti hai zindagi main ye rahat kabhi kabhi josh-e-junun main dard ki tugyaniyon k sath ashkon main dhal gai teri surat kabhi kabhi tere qarib rah k bhi dil mutmain na tha guzri hai mujh pe bhi ye qayamat kabhi kabhi kuch apna hosh tha na tumhara khayal tha yun bhi guzar gai shab-e-furqat kabhi kabhi ai dost ham ne tark-e-muhabbat k bawajud mahsus ki hai teri zarurat kabhi kabh

kaun is rah se guzarta hai

kaun is rah se guzarta hai dil yun hi intazar karta hai dekh kar bhi na dekhne wale dil tujhe dekh-dekh darta hai shahr-e-gul main kati hai sari rat dekhiye din kahan guzarta hai dhyan ki siriyon pe pichle pahar koi chup k se paon dharta hai dil to mera udas hai 'Nasir' shahar kyon sayen-sayen karta hai

kisi kali ne bhi dekha na ankh bhar k mujhe

kisi kali ne bhi dekha na ankh bhar k mujhe guzar gai jars-e-gul udas kar k mujhe main so raha tha kisi yad k shabistan main jaga k chor gaye qafile shahar k mujhe main ro raha tha muqaddar ki sakht rahon main ura k le gaya jadu teri nazar ka mujhe main teri dard ki tugyaniyon main dub gaya pukarte rahe tare ubhar ubhar k mujhe tere firaq ki raten kabhi na bhulengi maze mile inhin raton main umr bhar k mujhe zara si der thaharne de ai gam-e-duniya bula raha hai koi bam se utar k mujhe phir aj ai thi ik mauj-e-hawa-e-tarab suna gai hai fasane idhar-udhar k mujhe

kuch to ehsas-e-ziyan tha pahle

kuch to ehsas-e-ziyan tha pahle dil ka ye hal kahan tha pahle ab to manzil bhi hai khud garm-e-safar har qadam sang-e-nishan tha pahle safar-e-shauq k farsang na puch waqt beqaid-e-makan tha pahle ye alag bat k gam ras hai ab is main andesha-e-jan tha pahle yun na ghabraye huye phirte the dil ajab kunj-e-aman tha pahle ab bhi tu pas nahi hai lekin is qadar dur kahan tha pahle dere dale hain bagolon ne jahan us taraf chashm-e-rawan tha pahle ab wo dariya na basti na wo log kya khabar kaun kahan tha pahle har kharaba ye sada deta hai main bhi abad makan tha pahle kya se kya ho gai duniya pyare tu wahin par hai jahan tha pahle ham ne abad kiya mulk-e-sukhan kaisa sunsan saman tha pahle ham ne bakhshi hai khamoshi ko zuban dard majbur-e-fugan tha pahle ham ne roshan kiya mamur-e-gam warna har simt dhuan tha pahle gam ne phir dil ko jagaya 'Nasir' khanabarbad kahan tha pahle

kuch yadgar-e-shahar-e-sitamgar hi le chalen

kuch yadgar-e-shahar-e-sitamgar hi le chalen aye hain is gali main to pathar hi le chalen yun kis tarah katega kari dhup ka safar sar par khayal-e-yar ki chadar hi le chalen ranj-e-safar ki koi nishani to pas ho thori si khak-e-kucha-e-dilbar hi le chalen ye kah k cherti hai hamain dilgiraftagi ghabra gaye hain ap to bahar hi le chalen is shahar-e-becharag main jayegi tu kahan a ai shab-e-firaq tujhe ghar hi le chalen

musalsal bekali dil ko rahi hai

musalsal bekali dil ko rahi hai magar jine ki surat to rahi hai main kyun phirta hun tanha mara mara ye basti chain se kyon so rahi hai chal dil se ummidon k musafir ye nagari aj khali ho rahi hai na samjho tum ise shor-e-baharan khizan patton main chup k ro rahi hai hamare ghar ki diwaron pe 'Nasir' udasi bal khole so rahi hai

naye kapre badal kar jaun kahan aur bal banaun kis k liye

naye kapre badal kar jaun kahan aur bal banaun kis k liye wo shakhs to shahar hi chor gaya ab khak uraun kis k liye jis dhup ki dil ko thandak thi wo dhup usi k sath gai in jalti bujhti galiyon main ab khak uraun kis k liye wo shahar main tha to us k liye auron se milna parta tha ab aise-waise logon k main naz uthaun kis k liye ab shahar main is ka badal hi nahi koi waisa jan-e-gazal hi nahi aiwan-e-gazal main lafzon k guldan sajaun kis k liye muddat se koi aya na gaya sunsan pari hai ghar ki faza in khali kamron main 'Nasir' ab shamma jalaun kis k liye

'Nasir' kya kahta phirta hai kuch na suno to behtar hai

'Nasir' kya kahta phirta hai kuch na suno to behtar hai diwana hai diwane k mun na lago to behtar hai kal jo tha wo aj nahi jo aj hai kal mit jayega rukhi-sukhi jo mil jaye shukr karo to behtar hai kal ye tab-o-tawan na rahegi thanda ho jayega lahu nam-e-Khuda ho jawan abhi kuch kar guzro to behtar hai kya jane kya rut badle halat k koi thik nahi ab k safar main tum bhi hamare sath chalo to behtar hai kapre badal kar bal bana kar kahan chale ho kis k liye rat bahut kali hai 'Nasir' ghar main raho to behtar hai

niyat-e-shauq bhar na jaye kahin

niyat-e-shauq bhar na jaye kahin tu bhi dil se utar na jaye kahin aj dekha hai tujhe der k bad aj ka din guzar na jaye kahin na mila kar udas logon se husn tera bikhar na jaye kahin arzu hai k tu yahan aye aur phir umr bhar na jaye kahin ji jalata hun aur ye sochta hun rayegan ye hunar na jaye kahin ao kuch der ro hi len 'Nasir' phir ye dariya utar na jaye kahin

phir sawan rut ki pawan chali tum yad aye

phir sawan rut ki pawan chali tum yad aye phir patton ki pazeb baji tum yad aye phir kunjen bolin ghas k hare samandar main rut ai pile phulon ki tum yad aye phir kaga bola ghar k sune angan main phir amrat ras ki bund pari tum yad aye pahle to main chikh k roya aur phir hansne laga badal garja bijli chamaki tum yad aye din bhar to main duniya k dhandhon main khoya raha jab diwaron se dhup dhali tum yad aye

safar-e-manzil-e-shab yad nahi

safar-e-manzil-e-shab yad nahi log rukhsat huye kab yad nahi dil main har waqt chubhan rahti thi thi mujhe kis ki talab yad nahi wo sitara thi k shabnam thi k phul ik surat thi ajab yad nahi aisa uljha hun gam-e-duniya main ek bhi khwab-e-tarab yad nahi bhulte jate hain mazi k dayar yad ayen bhi to sab yad nahi ye haqiqat hai k ahbab ko ham yad hi kab the k ab yad nahi yad hai sair-e-charagan "Nasir" di k bujhne ka sabab yad nahi

tere khayal se lau de uthi hai tanhai

tere khayal se lau de uthi hai tanhai shab-e-firaq hai ya teri jalwarai tu kis khayal main hai ai manzilon k shadai unhen bhi dekh jinhen raste main nind ai pukar ai jaras-e-karawan-e-subah-e-tarab bhatak rahe hain andheron main tere saudai rah-e-hayat main kuch marhale to dekh liye ye aur bat teri arazu na ras ai ye saniha bhi muhabat main barha guzra k us ne hal bhi pucha to ankh bhar ai phir us ki yad main dil beqarar hai 'Nasir' bichar k jis se hui shahar shahar ruswai

tere milne ko bekal ho gaye hain

tere milne ko bekal ho gaye hain magar ye log pagal ho gaye hain baharen lek aye the jahan tum wo ghar sunsan jangal ho gaye hain yahan tak barh gaye alam-e-hasti k dil k hausale shal ho gaye hain kahan tak tab laye natawan dil k sadme ab musalsal ho gaye hain nigah-e-yas ko nind a rahi hai musarda purashk bojhal ho gaye hain unhen sadiyon na bhulega zamana yahan jo hadse kal ho gaye hain jinhen ham dekh kar jite the 'Nasir' wo log ankhon se ojhal ho gaye hain

wo dil nawaz hai nazar shanas nahi

wo dil nawaz hai nazar shanas nahi mera ilaj mere charagar k pas nahi tarap rahe hain zaban par kai sawal magar mere liye koi shayan-e-iltamas nahi tere ujalon main bhi dil kanp kanp uthta hai mere mizaj ko asudagi bhi ras nahi kabhi kabhi jo tere qurb main guzre the ab un dinon ka tasawwur bhi mere pas nahi guzar rahe hain ajab marhalon se dida-o-dil sahar ki as to hai zindagi ki as nahi mujhe ye dar hai k teri arzu na mit jaye bahut dinon se tabiyat meri udas nahi

zaban sukhan ko, sukhan bankpan ko tarsega

zaban sukhan ko, sukhan bankpan ko tarsega sukhankada meri tarz-e-sukhan ko tarsega naye pyale sahi tere daur main saqi ye daur meri sharab-e-kohan ko tarsega mujhe to khair watan chor k aman na mili watan bhi mujh se garib-ul-watan ko tarsega unhin k dam se farozan hain millaton k charag zamana sohbat-e-arbab-e-fan ko tarsega badal sako to badal do ye bagban warna ye bag saya-e-sard-o-saman ko tarsega hawa-e-zulm yahi hai to dekhna ek din zamin pani ko suraj kiran ko tarsega

aziz itna hi rakho k ji sanbhal jaye

aziz itna hi rakho k ji sanbhal jaye ab is qadar bhi na chaho k dam nikal jaye mile hain yun to bahut ao ab milen yun bhi k ruh garmi-e-anfas se pighal jaye muhabbaton main ajab hai dilon ko dharka sa k jane kaun kahan rasta badal jaye rahe wo dil jo tamanna-e-taza tar main rahe khusha wo umr jo khwabon hi main bahal jaye main wo charag-e-sar-e-rahguzar-e-duniya hun jo apni zat ki tanhaiyon main jal jaye har ek lahja yahi arzu yahi hasrat jo ag dil main hai wo sher main bhi dhal jaye

bana gulab to kante chubha gaya ik shakhs

bana gulab to kante chubha gaya ik shakhs hua chirag to ghar hi jala gaya ik shakhs tamam rang mere aur sare khwab mere fasana kah k fasana bana gaya ik shakhs main kis hawa main urun kis faza main lahraun dukhon k jal har-su bicha gaya ik shakhs palat sakun main na age barh sakun jis par mujhe ye kaun se raste laga gaya ik shakhs muhabbaten bhi ajib us ki nafraten bhi kamal meri tarah ka hi mujh main sama gaya ik shakhs wo mahtab tha marham-ba-dast aya tha magar kuch aur siwa dil dukha gaya ik shakhs khula ye raz k aina-khana hai duniya aur is main mujh ko tamasha bana gaya ik shakhs

khayal-o-khwab hue hain muhabbaten kaisi

khayal-o-khwab hue hain muhabbaten kaisi lahu main nach rahin hain ye wahshaten kaisi na shab ko chand hai acha na din ko mehar acha ye ham pe bit rahi hain qayamaten kaisi azab jin ka tabassum sawab jin ki nigah khinchi hui hain pas-e-janan suraten kaisi hawa k dosh pe rakhe hue charag hain ham jo bujh gaye to hawa se shikayaten kaisi jo bekhabar koi guzra to sada ye di hai main sang-e-rah hun mujh par inayaten kaisi jo a rahe so wo bhi ab sang-o-khisht lata hai faza ye ho to dilon ki nazakaten kaisi

ye saja sajaya ghar saqi meri zat nahin mera hal nahin

kuch ishq tha kuch majburi thi so main ne jiwan war diya main kaisa zinda admi tha ik shakhs ne mujh ko mar diya ye saja sajaya ghar saqi meri zat nahin mera hal nahin ai kash kabhi tum jan sako jo us sukh ne azar diya main khuli hui ik sachai mujhe janane wale jante hain main ne kin logon se nafrat ki aur kin logon se pyar kiya wo ishq bahut mushkil tha magar asan na tha yun jina bhi us ishq ne zinda rahne ka mujhe zarf diya pindar diya ik sabz shakh gulab ki tha ik duniya apne pyar ki tha wo ek bahar jo ai nahin us k liye sab kuch har diya main rota hun aur asman se tare tutate dekhta hun un logon par jin logon ne mere logon ko azar diya wo yar hon ya mahbub mere ya kabhi kabhi milne wale ik lazzat sab k milne main wo zakhm diya ya pyar diya

tere pyar main ruswa hokar jaye kahan diwane log

tere pyar main ruswa hokar jaye kahan diwane log jane kya kya puch rahen hain ye jane pahchane log jaise tumhen hamne chaha tha kaun bhala yun chahega mana aur bahut ayenge tum se pyar jatane log kaise dukhon k mausam aye kaisi ag lagi yaro ab saharaon se late hain phulon k nazrane log kal matam beqimat hoga aj inki tauqir karo dekho khun-e-jigar se kya kya likhte hain afasane log jante hain ye ishq musalsal rog hai ah-o-zari ka phir bhi us k kuche main jate hain umr gawane log

Pehli Barish, Bhiga Mausam

Pehli Barish, Bhiga Mausam Uski Yadein, Ankhein Num Na Jaane Kis Rah Se Woh Guzre Har Rah Par Ankein Bichaye Baithe Hain Hum !! Nazar me tumhare nazare rahenge, Palko pe yuhi chand sitare rahenge, Badal jaye to badle ye zamana, Khuda kasam hum to hamesha tumhare rahenge !! Mere Wajood mai kash wo utar jaye, Mai dekhoon Aaina aur wo nazar aaye, Wo ho samne aur Waqt thehar jaye, Ye zindagi us se yuhin dekhte huye guzar jaye !! Teri muskurahat meri pehchan hai, teri khushi meri shaan hai, kuchh bhi nahi meri zindagi, bas itna samajle ki tera sath hi meri jaan hai !! Na jeene ki khushi na marne ka gam Gam hai toh usse na milne ka gam Jeete hain iss aas pe kabhi woh hamare kehlaayenge Mrte nhi isliye ki woh akele reh jayenge !! Tera intzaar karke har raat ko tanha so jata hun. Subah hote hi phir tere milne ki aas me aankhe bhichata hun. Ye silsila ab tum khatam kar do, ek din milne ka mukarar kardo !! Jan Se Bi Zada Unhe Pyr Kiya

apni ruswai tere nam ka charcha dekhun

apni ruswai tere nam ka charcha dekhun ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun nind a jaye to kya mahfilen barpa dekhun ankh khul jaye to tanhai ka sahra dekhun sham bhi ho gai dhundhala gai ankhen bhi meri bhulnewale main kab tak tera rasta dekhun sab ziden us ki main puri karun har bat sunun ek bache ki tarah se use hansta dekhun mujh pe cha jaye wo barsat ki khushbu ki tarah ang ang apna usi rut main mahakta dekhun tu meri tarah se yakta hai magar mere habib ji main ata hai koi aur bhi tujh sa dekhun main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar khwab ban kar teri ankhon main utarta dekhun tu mera kuch nahin lagta hai magar jan-e-hayat jane kyon tere liye dil ko dharakta dekhun

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng

dil ka kya hai wo to chahega musalsal milana

dil ka kya hai wo to chahega musalsal milana wo sitamgar bhi magar soche kisi pal milna wan nahin waqt to ham bhi hain adim-ul-fursat us se kya kahiye jo har roz kahe kal milna ishq ki rah k musafir ka muqaddar malum dasht-e-ummid main andeshe ka badal milna daman-e-shab ko agar chak bhi kar len to kahan nur main duba hua subah ka anchal milna

hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha

hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha tere shanon pe koi chat nahin thi mere zimme koi angan nahin tha koi wada teri zanjir-e-pa banane nahin paya kisi iqrar ne meri kalai ko nahin thama hawa-e-dasht ki manind tu azad tha raste teri marzi k tabe the mujhe bhi apni tanhai pe dekha jaye to pura tasarruf tha magar jab aj tu ne rasta badla to kuch aisa laga mujh ko k jaise tu ne mujh se bewafai ki

kamal-e-zabt ko khud bhi to azmaungi

kamal-e-zabt ko khud bhi to azmaungi main apne hath se us ki dulhan sajaungi supurd kar k use chandni k hathon main apne ghar k andheron ko laut aungi badan k karb ko wo bhi samajh na payega main dil main roungi ankhon main muskuraungi wo kya gaya k rafaqat k sare lutf gaye main kis se ruth sakungi kise manaungi wo ik rishta-e-benam bhi nahin lekin main ab bhi us k isharon pe sar jhukaungi bicha diya tha gulabon k sath apna wajud wo so k uthe to khwabon ki rakh uthaungi ab us ka fan to kisi aur se mansub hua main kis ki nazm akele main gungunaungi jawaz dhundh raha tha nai muhabbat ka wo kah raha tha k main us ko bhul jaungi samaaton main ghane jangalon ki sansen hain main ab kabhi teri awaz sun na paungi

bedili se hansne ko khush-dili na samjha jaye

bedili se hansne ko khush-dili na samjha jaye gam se jalte chehre ko raushni na samjha jaye gaha gaha wahshat main ghar ki simt jata hun isko dasht-e-hairat se wapsi na samjha jaye lakh khushguman duniya bahimi talluq ko dosti kahen lekin dosti na samjha jaye ham to bas ye kahte hain roz jine marne ko ap chahen kuch samjhen zindagi na samjha jaye khak karne walon ki kya ajib khwahish thi khak hone walon ko khak hi na samjha jaye

ek se silsile hain sab hijr ki rut bata gai

ek se silsile hain sab hijr ki rut bata gai phir wahi subah ayegi phir wahi sham a gai mere lahu main jal uthe utne hi taza dam chirag waqt ki sazishi hawa jitne diye bujha gai main bhi ba-pas-e-dostan apne khilaf ho gaya ab yahi rasm-e-dosti mujhko bhi ras a gai tund hawa k jashn main log gaye to the magar tan se koi qaba chini sar se koi rida gai dil-zadgan k qafile dur nikal chuke tamam un ki talash main nigah ab jo gai to kya gai akhir-e-shab ki dastan aur karen bhi kya bayan ek hi ah-e-sard thi sare diye bujha gai

ham se bahal rahe hain ap ap bahut ajib hain

ham se bahal rahe hain ap ap bahut ajib hain dard main dhal rahe hain ap ap bahut ajib hain saya-e-wasl kab se hai ap ka muntazir magar hijr main dhal rahe hain ap ap bahut ajib hain apne khilaf faisla khud hi likha hai ap ne hath bhi mal rahe hain ap ap bahut ajib hain waqt ne arazu ki lau der hui bujha bhi di ab bhi pighal rahe hain ap ap bahut ajib hain zahmat-e-zarbat-e-digar dost ko dijiye nahin gir k sambhal rahe hain ap ap bahut ajib hain dayarawar hi to hain ishq ke raste tamam rah badal rahe hain ap ap bahut ajib hain dasht ki sari raunaqen khair se ghar main hain to kyun ghar se nikal rahe hain ap ap bahut ajib hain apni talash ka safar khatm bhi kijiye kabhi khwab main chal rahe hain ap ap bahut ajib hain

ik saza aur asiron ko suna di jaye

ik saza aur asiron ko suna di jaye yani ab jurm-e-asire ki saza di jaye uski khwahish hai k ab log na roen na hansen behisi waqt ki awaz bana di jaye dasht-e-nadida ki tahqiq zaruri hai magar pahle jo ag lagi hai wo bujha di jaye sirf jalna hi nahin hamko bharakna bhi to hai ishq ki ag ko lazim hai hawa di jaye sirf suraj ka nikalna hai agar subah to phir ik shab aur meri shab se mila di jaye aur ik taza sitam usne kiya ijad usko is bar zara khul ke dua di jaye