Skip to main content

dil main ik lahar si uthi hai abhi

dil main ik lahar si uthi hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi

shor barpa hai khana-e-dil main
koi diwar si giri hai abhi

kuch to nazuk mizaj hain ham bhi
aur ye chot bhi nai hai abhi

bhari duniya main ji nahi lagta
jane kis chiz ki kami hai abhi

tu sharik-e-sukhan nahi hai to kya
ham-sukhan teri khamoshi hai abhi

yad k be-nishan jaziron se
teri awaz a rahi hai abhi

shahar k becharag galiyon main
zindagi tujh ko dhundti hai abhi

so gaye log us haweli k
ek khirki magar khuli hai abhi

tum to yaro abhi se uth baithe
shahar main rat jagti hai abhi

waqt acha bhi ayega 'Nasir'
gam na kar zindagi pari hai abhi

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.