jalta hun hijr-e-shahid-o-yad-e-sharab main
shauq-e-sawab ne mujhe dala azab main
kahte hain tum ko hosh nahin iztarab main
sare gile tamam hue ek jawab main
phaili shamim-e-yar mere ashk-e-surKh se
dil ko gazab fishar hua pech-o-tab main
rahte hain jama kucha-e-janan main khas-o-am
abad ek ghar hai jahan-e-kharab main
badnam mere giriya-e-ruswa se ho chuk
ab uzr kya raha nigah-e-behijab main
matlab ki justaju ne ye kya hal kar diya
hasrat bhi nahin dil-e-nakamayab main
nakamiyon se kam raha umr bhar hamain
piri main yas hai jo hawas thi shabab main
kya jalwe yaad aye k apni khabar nahin
be-bada mast hun main shab-e-mahtab main
paiham sajud pa-e-sanam par dam-e-wida
"Momin" Khuda ko bhul gaye iztarab main