Skip to main content

Gurez Shab Se, Shaher Se Kalaam Rakhte Thay

 
 
Gurez Shab Se, Shaher Se Kalaam Rakhte Thay
Kabhi Woh Din Thay K Zulfun Mein Shaam Rakhte Tahy,

Tumhare Haath Lage Hain, Jo Ab Karo, So Karo
Wagarna Tum Se To Hum So Ghulaam Rakhte Tahy,

... Humen Bhi Gher Liya Ghar Kay Za`am Ne, To Khula
Kuch Aur Log Bhi Is Mein Qiyaam Rakhte Tahy,

Woh Aa To Jaata Kabhi, Hum To Us Kay Raston Par
Diye Jalaaye Howe Subah-o-Shaam Rakhte Tahy,

Na Jaane Kon Si Rutt Mein Cher Gaye Woh Log
Jo Apne Dil Mein Boht Ehtraam Rakhte Thay.

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng