Skip to main content

khalish-e-hijr-e-dayami na gai

khalish-e-hijr-e-dayami na gai
tere rukh se ye berukhi na gai

puchte hain k kya hua dil ko
husn walon ki sadgi na gai

sar se sauda gaya muhabbat ka
dil se par is ki bekali na gai

aur sab ki hikayaten kah din
bat apni kabhi kahi na gai

ham bhi ghar se 'Munir' tab nikle
bat apnon ki jab sahi na gai

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.