ajab tamashe dikhlaati tu bhi ae zindagi hai;


ajab tamashe dikhlaati tu bhi  ae zindagi hai;
kabhi gham-e-ruksati to kabhi aane ki khushi hai;

ye hi nizaam-e-duniya hai,ye hi uski khudaai hai,
gham-o-khushi ke patwaar se chali zist ki kashti hai;

puch gaye sab aansu har chasm  muskuraa  rahi rahi,
kaisi raat,kaisa andhera zameen par utari chandni hai;

har ek lab aaj chalka raha hai tabussum ki sharaab,
har dil aaj ban ke mahtaab luta raha  roshani hai;

kisi ke jaane ke baais ek kala baadal sa chaya tha,
kisi ke aane ki khabar ne di muasam ko dilkashi hai;