jaate jaate woh apne jaane ka gham de gaye;

jaate jaate woh apne jaane ka gham de gaye;
sab bahaaren le gaye rone ka mausam de gaye;

dhundti hai  nigaahen par woh ab kahin nahin,
apne hone ka woh muje kaisa bharam de gaye;

mujhe mere papa ki  surat yaad aati hai,
woh to na rahe apni yaadon ka sitam de gaye;

ek ajeeb sa sannaata hai aaj kal  is ghar me,
ghar ki dar-o-deewar ko  udaasi peham de gaye;

badal gai hai ab taasir, taasir ki zindagi ki,
tum kya gaye aakhon ko manzar-e-maatam de gaye;