Tuune ye phuul jo zulfoN meN sajaa rakhaa hai,
ek diyaa hai jo andheroN meN jalaa rakhaa hai,
(zulf : tresses; jalaa : lighted)
jiit le jaaye koii mujhko nasiiboN vaalaa,
zindagii ne mujhe daaNv pe lagaa rakhaa hai,
(nasiib : destiny; daaNv : at stake)
jaane kab aaye koii dil meN jhaaNkne vaalaa,
is liye maiN ne girebaan khulaa rakhaa hai,
(girebaan : collar)
imtehaaN aur mere zabt kaa tum kyaa loge,
maiN ne dhaRkan ko bhii siine meN chhupaa rakhaa hai,
( zabt : restrain; dhaRkan : heart-beat)
dil tha ek sholaa magar biit gaye din vo Qateel,
ab kuredo na ise raakh meN kyaa rakha hai.
(sholaa : ball of fire; kurednaa : to scratch or scrape; raakh : ashes)