Vafaa ke shiish mahal men sajaa liyaa main ne

Vafaa ke shiish mahal men sajaa liyaa main ne 
vo ek dil jise patthar banaa liyaa main ne

ye soch kar ki na ho taak men Khushii koii 
Ghamon ki ot men Khud ko chhupaa liyaa main ne

kabhii na Khatm kiyaa main ne roshanii kaa muhaaz 
agar chiraagh bujhaa, dil jalaa liyaa main ne

kamaal ye hai ki jo dushman pe chalaanaa thaa
vo tiir apane kaleje pe khaa liyaa main ne

'Qateel' jisakii adaavat men ek pyaar bhii thaa 
us aadamii ko gale se lagaa liyaa main ne