Rone se aur ishq mein be_baak ho gaye
dhoye gaye ham 'eise ki bas paak ho gaye.
Kehta hai Kaun naala-e-bulbul ko be_asar
parde mein gul ke laakh jigar chaak ho gaye.
Pooche hai kya Wujood-o-adam 'ehl-e-shauq ka
aap apnee aag se KHas-o-khaashaak ho gaye.
Karne gaye the; unse taghaaful ka ham gila
kee ek hee nigaah ki bas khaak ho gaye.
Is dhang se uthaayee kal usne 'Asad' ki laash
dushman bhee jisko dekhke ghamnaak ho gaye .