Bheegi hui aankho ka ye manzar na mille ga




Bheegi hui aankho ka ye manzar na mille ga
Ghar chor kay mat jao kahin ghar na mille ga



Phir yaad bohut aaye gi zulfo ki ghani shaam
Jab dhoop may saaya koi sar par na mille ga



Aansoo ko kabhi aus ka qatra na samajhna
Aisa tumhe chahat ka samandar na mille ga



Is khwaab kay maahol may be khwab hayaankhe
Jab neend bohut aaye gi bistar na mille ga



Ye soch lo ab aakhri saaya hay mohabbat
Is dar say utho gay tho koi dar na mille ga.