Skip to main content

ghaddar tha mehaktay chaman se nikal gaya

 

ghaddar tha mehaktay chaman se nikal gaya
acha sun-hwa woh mere watan se nikal gaya

be taab ho raha tha badan mein tra khayaal
mein rokta raha woh badan se nikal gaya

itna woh sajh raha tha libaas safaid mein
is ka to naam is ke kafan se nikal gaya

qaidi samajh raha tha zamana jisay hanooz
choup Kar woh asshk pinjrah (cage) mann se nikal gaya

halaank uss ko pehlay batayi gayi thi had
phir bhi woh agay kitna gagan se nikal gaya

aapas mein kar rahay thay yeh baatein Makeen Khuld
woh kon tha jo baghِ Aden se nikal gaya


ghaddar tha mehaktay chaman se nikal gaya

Comments

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng