kahañ aa ke rukne the raste kahañ mod tha use bhuul ja
vo jo mil gaya use yaad rakh jo nahiñ mila use bhuul ja
vo tire nasib ki barisheñ kisi aur chhat pe baras ga.iiñ
dil-e-be-khabar miri baat sun use bhuul ja use bhuul ja
maiñ to gum tha tere hi dhyan meñ tiri aas tere guman meñ
saba kah ga.i mire kaan meñ mire saath aa use bhuul ja
kisi aañkh meñ nahiñ ashk-e-gham tire ba.ad kuchh bhi nahiñ hai kam
tujhe zindagi ne bhula diya tu bhi muskura use bhuul ja
kahiñ chak-e-jañ ka rafu nahiñ kisi astiñ pe lahu nahiñ
ki shahid-e-rah-e-malal ka nahiñ khuñ-baha use bhuul ja
kyuuñ aTa hua hai ghubar meñ gham-e-zindagi ke fishar meñ
vo jo dard tha tire baaht meñ so vo ho gaya use bhuul ja
tujhe chañd ban ke mila tha jo tire sahiloñ pe khila tha jo
vo tha ek dariya visal ka so utar gaya use bhuul ja
Comments
Post a Comment