ye aur baat hai tujh se gilā nahīñ karte
jo zaḳhm tū ne diye haiñ bharā nahīñ karte
hazār jaal liye ghūmtī phire duniyā
tire asiir kisī ke huā nahīñ karte
ye ā.inoñ kī tarah dekh-bhāl chāhte haiñ
ki dil bhī TūTeñ to phir se juḌā nahīñ karte
vafā kī aañch suḳhan kā tapāk do in ko
diloñ ke chaak rafū se silā nahīñ karte
jahāñ ho pyaar ġhalat-fahmiyāñ bhī hotī haiñ
so baat baat pe yuuñ dil burā nahīñ karte
hameñ hamārī anā.eñ tabāh kar deñgī
mukālme kā agar silsila nahīñ karte
jo ham pe guzrī hai jānāñ vo tum pe bhī guzre
jo dil bhī chāhe to aisī duā nahīñ karte
har ik duā ke muqaddar meñ kab huzūrī hai
tamām ġhunche to 'amjad' khilā nahīñ karte
Comments
Post a Comment