Skip to main content

Posts

Showing posts from September, 2021

ye aur baat hai tujh se gilā nahīñ karte

  ye aur baat hai tujh se gilā nahīñ karte  jo zaḳhm tū ne diye haiñ bharā nahīñ karte  hazār jaal liye ghūmtī phire duniyā  tire asiir kisī ke huā nahīñ karte  ye ā.inoñ kī tarah dekh-bhāl chāhte haiñ  ki dil bhī TūTeñ to phir se juḌā nahīñ karte  vafā kī aañch suḳhan kā tapāk do in ko  diloñ ke chaak rafū se silā nahīñ karte  jahāñ ho pyaar ġhalat-fahmiyāñ bhī hotī haiñ  so baat baat pe yuuñ dil burā nahīñ karte  hameñ hamārī anā.eñ tabāh kar deñgī  mukālme kā agar silsila nahīñ karte  jo ham pe guzrī hai jānāñ vo tum pe bhī guzre  jo dil bhī chāhe to aisī duā nahīñ karte  har ik duā ke muqaddar meñ kab huzūrī hai  tamām ġhunche to 'amjad' khilā nahīñ karte 

kahan aa ke rukne the raste kahan moD tha use bhul ja

 kahañ aa ke rukne the raste kahañ mod tha use bhuul ja  vo jo mil gaya use yaad rakh jo nahiñ mila use bhuul ja vo tire nasib ki barisheñ kisi aur chhat pe baras ga.iiñ  dil-e-be-khabar miri baat sun use bhuul ja use bhuul ja  maiñ to gum tha tere hi dhyan meñ tiri aas tere guman meñ  saba kah ga.i mire kaan meñ mire saath aa use bhuul ja  kisi aañkh meñ nahiñ ashk-e-gham tire ba.ad kuchh bhi nahiñ hai kam  tujhe zindagi ne bhula diya tu bhi muskura use bhuul ja  kahiñ chak-e-jañ ka rafu nahiñ kisi astiñ pe lahu nahiñ  ki shahid-e-rah-e-malal ka nahiñ khuñ-baha use bhuul ja  kyuuñ aTa hua hai ghubar meñ gham-e-zindagi ke fishar meñ  vo jo dard tha tire baaht meñ so vo ho gaya use bhuul ja  tujhe chañd ban ke mila tha jo tire sahiloñ pe khila tha jo  vo tha ek dariya visal ka so utar gaya use bhuul ja 

woh lafz dhond raha tha

 

Is ummid pe roz charagh jalate haiñ

 is ummid pe roz charagh jalate haiñ  aane vaale barsoñ ba.ad bhi aate haiñ  ham ne jis raste par us ko chhoda hai  phuul abhi tak us par khilte jaate haiñ  din meñ kirneñ añkh-micholi khelt haiñ  raat ga.e kuchh jugnu milne jaate haiñ  dekhte dekhte ik ghar ke rahne vaale  apne apne khanoñ meñ baT jaate haiñ  dekho to lagta hai jaise dekha tha socho to phir naam nahiñ yaad aate haiñ  kaisi achchhi baat hai 'zehra' tera naam  bachche apne bachchoñ ko batlate haiñ