is ummid pe roz charagh jalate haiñ
aane vaale barsoñ ba.ad bhi aate haiñ
ham ne jis raste par us ko chhoda hai
phuul abhi tak us par khilte jaate haiñ
din meñ kirneñ añkh-micholi khelt haiñ
raat ga.e kuchh jugnu milne jaate haiñ
dekhte dekhte ik ghar ke rahne vaale
apne apne khanoñ meñ baT jaate haiñ
dekho to lagta hai jaise dekha tha
socho to phir naam nahiñ yaad aate haiñ
kaisi achchhi baat hai 'zehra' tera naam
bachche apne bachchoñ ko batlate haiñ
Comments
Post a Comment