jalva-e-husn agar zīnat-e-kāshāna bane
dastaras sham.a ko hāsil ho to parvāna bane
dil na hoshiyār rahe aur na dīvāna bane
ye tamannā hai ki ḳhaak dar-e-jānāna bane
husn ai husn ye hai terī karishma-sāzī
ka.aba ban jaa.e kahīñ aur kahīñ but-ḳhāna bane
hosh aur kashmakash-e-hosh ilāhī tauba
vahī hoshiyār hai ulfat meñ jo dīvāna bane
is tamannā se maiñ ai ishq ḳhajil hotā huuñ
dil kī taqdīr ki vo husn kā nazrāna bane
husn mahsūs se hai jalva-e-mutlaq matlūb
na sahī ka.aba to dil-e-mā.il but-ḳhāna bane
mai-parastī kā muayyan koī me.aar nahīñ
jis kā jo zarf ho saaqī vahī paimāna bane
un kī sarshār nigāhoñ ke tasadduq kahiye
hāsil-e-kaif jo paimāna-ba-paimāna bane
soz ulfat ke ḳhudā sham.a nahīñ hai na sahī
phūñk itnā mirī hastī ko ki parvāna bane
sāġhar-e-dil meñ hai kaifiyyat-e-sahbā-e-alast
buuñd buuñd us kī na kyuuñ hāsil-e-mai-ḳhāna bane
aap ik roz tavajjoh se jo sun leñ sar-e-bazm
dil kī rūdād kā har lafz ik afsāna bane
aaj mujh ko vo mai-e-hosh-rubā de saaqī
aur to aur dil apne se bhī begāna bane
kaash miT miT ke mirī hastī-e-nāchīz 'ġhubār'
ḳhaak ho jaa.e to ḳhāk-e-dar-e-jānāna bane
Comments
Post a Comment