Skip to main content

Kyun Itna dard dete Ho

Kyun Itna dard dete Ho
Kyun Yun Din Bhar Satate ho
Palat Hum Na Ayenge
Na Phir Tum Ko Satayenge

Hamare Baad Jo Wo Pal
Tumhe Jab Yaad Ayenge
Bohat Tumko Rulayenge
Satayenge Jagayenge

Abhi Shehar e Muhabbat Mai
Mera Koi nahi Jaana
Meri Dunya Mai Ajao
Kahin Rooh Mai Sama Jao

Tumhari Yaad Mai Jalti Hon
Kyun Itna Rulate Ho
Teri Chokhat Pe Aye Hain
Tumhe Paa Kar Hi Jayenge

Agar Kuch Ranjishen Hongi
Hum Unko Bhi Mitayenge
Abhi TumKo bulate Hain
Tumhi Pe Haq jatate Hain
Mere Is Pyar Ko jaana
Bolo Kaise Bhulaogay

Duayen Jab Bhi Mangi Hain
Khuda Se Tumko Manga Hai
Agar Tum Na Howe Mere
To Phir Hum Jee Na Payenge

Palat Hum Na Ayenge
Na Phir Tum Ko Satayenge
Na Phir Tumko Jagayenge
Na Phir Tumko Manayenge

Kyun Itna Dard Dete Ho
Kyun Itna Dard Dete Ho


Comments

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng