Skip to main content

Kabhi Khamosh betho Gay

Kabhi Khamosh betho Gay
Kabhi Kuch Gungunao Gay
Mai Utna Yaad Aaongi Mujhe Jitna Bhulao Gay
Koi Jab Poch Bethega Khamoshi Ka Sabab Tumse
Bohat Samjhana Chaho Gay Magar Samjha Na Pao gay
Kabhi Dunya Mukammal Ban Ke Ayegi Nigahon Mai
Kabhi Meri Kami Dunya Ki Har Shay Mai Pao Gay
Kahin Par Bhi Rahen Hum Aur Tum Muhabbat Phir Muhabbat Hai
Hum Utna Yaad Ayengay Hame Jitna Bhulao Gay
Kabhi Khamosh betho Gay
Kabhi Kuch Gungunao Gay

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.