Skip to main content

ye haqiiqat hai ki hotaa hai asar baato.n me.n

ye haqiiqat hai ki hotaa hai asar baato.n me.n 
tum bhii khul jaaoge do-chaar mulaaqaato.n me.n

tum se sadiyo.nkii vafaao.n kaa ko_ii naataa na thaa 
tum se milane kii lakiire.n thii mere haatho.n me.n 

tere vaado.n ne hame.n ghar se nikalane na diyaa 
log mausam kaa mazaa le gaye barasaato.n me.n 

ab na suuraj na sitaare na shamaa.N na chaa.Nd 
apane zaKhmo.n kaa ujaalaa hai ghanii raato.n me.n 

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.