Skip to main content

vo a.njuman me.n raat ba.Dii shaan se gaye

vo a.njuman me.n raat ba.Dii shaan se gaye 
imaan chiiz kyaa thii ka_ii jaan se gaye

mai.n to chhupaa huaa thaa hazaaro.n naqaab me.n 
lekin akele dekh ke pahachaan se gaye

vo shamaa ban ke Khud hii akele jalaa kiyaa 
paravaane kal kii raat pareshaan se gaye

aayaa teraa salaam na aayaa hai Khat ko_ii 
ham aaKhirii safar ke bhii saamaan se gaye

"Rahi" ji.nhe.n Khudaa bhii na samajhaa sakaa kabhii 
baiThe biThaaye dekh lo ab maan se gaye

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng