Skip to main content

ham tere shahar me.n aaye hai.n musaafir kii tarah

ham tere shahar me.n aaye hai.n musaafir kii tarah 
sirf ek baar mulaaqaat kaa mauqaa de de 

merii manzil hai kahaa.N meraa Thikaanaa hai kahaa.N 
subah tak tujh se bichha.Dakar mujhe jaanaa hai kahaa.N 
sochane ke liye ek raat kaa mauqaa de de 

apanii aa.Nkho.n me.n chhupaa rakhe.n hai.n juganuu mai.n ne 
apanii palako.n pe sajaa rakhe hai.n aa.Nsuu mai.n ne 
merii aa.Nkho.n ko bhii barasaat kaa mauqaa de de 

aaj kii raat meraa dard-e-muhabbat sun le 
ka.Np-ka.Npaate huye ho.nTho.n kii shikaayat sun le 
aaj izhaar-e-Khayaalaat kaa mauqaa de de 

bhuulanaa thaa to ye iqaraar kiyaa hii kyuu.N thaa 
bevafaa tuune mujhe pyaar kiyaa hii kyuu.N thaa 
sirf do-chaar savaalaat kaa mauqaa de de 

Popular posts from this blog

chere main ne kabhi lab-o-rukhsar ke qisse

chere main ne kabhi lab-o-rukhsar ke qisse gahe gul-o-bulbul ki hikaayat ko nikhaaraa gahe kisi shahazaade ke afsane sunaaye gahe kyaa duniyaa-e-paristaan kaa nazaaraa main khoyaa rahaa jin-o-malaik ke jahaan main har lahajaa agarche mujhe aadam ne pukaaraa barason yon hi diljami-e-aurang ki khaatir sau phuul khilaaye kabhi sau zakhm kharide main likhataa rahaa hijv bagaavat manshon ki main parhataa rahaa qasrnashinon ke qaside ubharaa bhi agar dil main koi jazabaa-e-sarkash is khauf se chup thaa ke koi honTh na si de lekin ye tilismaat bhi taa der na rah paaye aakhir mai-o-minaa-o-daf-o-chang bhi TuutTe yon dast-o-garebaan huaa insan-o-khudaaband nakhachir to tarape qafas-e-rang bhi TuuTe is kashmakash-e-zarraa-o-anjum ki fizaa main kashkol to kyaa afsar-o-aurang bhi TuuTe main dekh rahaa thaa mere yaaron ne barhakar qaatil ko pukaaraa kabhi maqtal ko sadaa di gahe rasn-o-daar ke aagosh main jhuule gahe haram-o-dair ki buniyaad hilaa di jis aag se bharpuur thaa maahaul kaa sinaa wo a...

Jin Ko Dhoke Se Kufa Bulaya Gaya

Jin Ko Dhoke Se Kufa Bulaya Gaya Jin Ke Bachchon Ko Pyaasa Rulaya Gaya Jin Ke Gardan Pe Khanjar Chalaya Gaya Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam Kaun Shabbir Woh Jin Ka Nana Nabi Jin Ki Maa Fatima Jin Ka Baba Ali Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam Karliya Jis Ne Naush Shahadat Ka Jam Us Hussain Ibne Haider Lakhon Salam Jin Ka Jhula Farishtey Jhulate Rahe Lohrian De Ke Noori Sulaate Rahe Us Hussain Ibn E Haider Pe Lakhon Jis Ne Nana Ka Wada Wafa Kar Dia Jis Ne Haq Karbala Mein Ada Kar Diya Apne Ghar Ko Suparde Khuda Kar Diya Jis Ne Neze Par Bhi Quran Par Diya Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam Ya Elahi Sadqa E Ahle Rasool Yeh Salaam E Ajizana Ho Kubool

husan e zan thi or phul chun lke laati thi