Skip to main content

Aziz Qaisi Poetry

**aap ko dekh kar dekhataa rah gayaa **

aap ko dekh kar dekhataa rah gayaa 
kyaa kahuu.N aur kahane ko kyaa rah gayaa 

un kii aa.Nkho.n me.n kaise chhalakane lagaa 
mere ho.nTho.n pe jo maajaraa rah gayaa 

aise bichha.De sabhii raah ke mo.D par 
aaKharii ham_safar raastaa rah gayaa 

soch kar aao kuu-e-tamannaa hai ye 
jaaneman jo yahaa.N rah gayaa rah gayaa 




**har shaam jalate jismo.n kaa gaa.Dhaa dhuaa.N hai shahar** 

har shaam jalate jismo.n kaa gaa.Dhaa dhuaa.N hai shahar 
mar-ghaT kahaa.N hai ko_ii bataao kahaa.N hai shahar 

phuTapaath par jo laash pa.Dii hai usii kii hai 
jis gaa.Nv ko yaqii.n thaa ki rozii-rasaa.N hai shahar

mar jaa_iye to naam-o-nasab puuchhataa nahii.n 
murdo.n ke sil-sile me.n bahut meharabaa.N hai shahar

rah rah ke chiiKh uThate hai.n sannaaTe raat ko 
jangal chhupe hue hai.n vahii.n par jahaa.N hai shahar

bhuuchaal aate rahate hai.n aur TuuTataa nahii.n 
ham jaise mufliso.n kii tarah saKht-jaa.N hai shahar

laTakaa huaa tren ke Dibbo.n me.n subah-o-shaam 
lagataa hai apanii maut ke muu.Nh me.n ravaa.N hai shahar



**uljhaav kaa mazaa bhii terii baat hii me.n thaa**

uljhaav kaa mazaa bhii terii baat hii me.n thaa
teraa javaab tere savaalaat hii me.n thaa

saayaa kisii yaqii.n kaa bhii jis par na pa.D sakaa
vo ghar bhii shahar-e-dil ke muzaafaat hii me.n thaa

[yaqii.n = firm belief/trust; muzaafaat = near by]

ilzaam kyaa hai ye bhii na jaanaa tamaam umr
mulzim tamaam umr havaalaat hii me.n thaa

[ilzaam = accusation; tamaam = entire; mulzim = accused]

ab to faqat badan kii muravvat hai daramiyaa.N
thaa rabt jaan-o-dil kaa to shuruu_aat hii me.n thaa

[faqat = only; muravvat = kindness/benevolence]
[daramiyaa.N = in between; rabt = relation]
[shuruu_aat = beginning]

mujh ko to qatl kar ke manaataa rahaa hai jashn
vo ziilihaaz shaKhs merii zaat hii me.n thaa

[jashn = celebration; zaat = existence]
[ziilihaaz = worthy of attention/respect(liihaaz ke qaabil)]
       
                               


 

Popular posts from this blog

chere main ne kabhi lab-o-rukhsar ke qisse

chere main ne kabhi lab-o-rukhsar ke qisse gahe gul-o-bulbul ki hikaayat ko nikhaaraa gahe kisi shahazaade ke afsane sunaaye gahe kyaa duniyaa-e-paristaan kaa nazaaraa main khoyaa rahaa jin-o-malaik ke jahaan main har lahajaa agarche mujhe aadam ne pukaaraa barason yon hi diljami-e-aurang ki khaatir sau phuul khilaaye kabhi sau zakhm kharide main likhataa rahaa hijv bagaavat manshon ki main parhataa rahaa qasrnashinon ke qaside ubharaa bhi agar dil main koi jazabaa-e-sarkash is khauf se chup thaa ke koi honTh na si de lekin ye tilismaat bhi taa der na rah paaye aakhir mai-o-minaa-o-daf-o-chang bhi TuutTe yon dast-o-garebaan huaa insan-o-khudaaband nakhachir to tarape qafas-e-rang bhi TuuTe is kashmakash-e-zarraa-o-anjum ki fizaa main kashkol to kyaa afsar-o-aurang bhi TuuTe main dekh rahaa thaa mere yaaron ne barhakar qaatil ko pukaaraa kabhi maqtal ko sadaa di gahe rasn-o-daar ke aagosh main jhuule gahe haram-o-dair ki buniyaad hilaa di jis aag se bharpuur thaa maahaul kaa sinaa wo a...

Jin Ko Dhoke Se Kufa Bulaya Gaya

Jin Ko Dhoke Se Kufa Bulaya Gaya Jin Ke Bachchon Ko Pyaasa Rulaya Gaya Jin Ke Gardan Pe Khanjar Chalaya Gaya Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam Kaun Shabbir Woh Jin Ka Nana Nabi Jin Ki Maa Fatima Jin Ka Baba Ali Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam Karliya Jis Ne Naush Shahadat Ka Jam Us Hussain Ibne Haider Lakhon Salam Jin Ka Jhula Farishtey Jhulate Rahe Lohrian De Ke Noori Sulaate Rahe Us Hussain Ibn E Haider Pe Lakhon Jis Ne Nana Ka Wada Wafa Kar Dia Jis Ne Haq Karbala Mein Ada Kar Diya Apne Ghar Ko Suparde Khuda Kar Diya Jis Ne Neze Par Bhi Quran Par Diya Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam Ya Elahi Sadqa E Ahle Rasool Yeh Salaam E Ajizana Ho Kubool

husan e zan thi or phul chun lke laati thi