Skip to main content

Rahber Poetry

Thahra gaya hai la ke jo manzil mein ishq ki,
Kya jaane rahnuma tha, ke rahzan tha, kaun tha.
Author : Aagha Sharf


Thahra gaya hai la ke jo manzil mein ishq ki,
Kya jaane rahnuma tha, ke rahzan tha, kaun tha.
Author : Aagha Sharf


Yeh rahbar hain kisi ko ba khabar hone nahin deinge,
Guzar jaaegi shab, lekin sahar hone nahin deinge.
Author : Ahmad Nadeem Qasmi


Rah-e-ghurbat mein apna zor paa-e-naatwaan tak hai,
Magar iska bharosa kya hai, yeh bhi hai jahan tak hai.
Author : Natiq Galawathi


Hazaaron khizar paida kar chuki hai nasl aadam ki,
Yeh sab tasleem lekin aadmi ab tab bhatakta hai.
Author : Firaq Gorakhpuri


Kya kiya Khizar ne Sikander Se,
Ab kise rahnuma kahe koi.
Author : Mirza Ghalib


Chalta hoon thori door har ik tez rau ke saath,
Pahchaanta nahin hoon abhi rahbar ko main.
Author : Mirza Ghalib


Taqleed ki rawish se tau behtar hai khud-kashi,
Rasta bhi dhoond, Khizar ha sauda bhz chhor de.
Author : Allama Iqbal

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.