Barse thal-per doongda,hari-bhari ho ghaas,
Barse mujh per mohni,kumhlaaye har aas.
Author : T.S.Haroon
Iss-baar koee shehr mei'n chhappar nahi'n apna,
Iss-baar bade-zor ki barsaat rahegi.
Author : Shahid Jameel
Woh kaali kaali badliaan, ufaq pe ho gaien ayaan,
Woh ik hajoom-e-maikashaan hai soo-e-maikada rawaan.
Author : Hafeez
Woh baam pe apne hans raha hai, main raah mein ghum se ro raha hoon,
Ajab hai barsaat ka sama yeh, falak pe bijli, zameen pe baaraan.
Author : Mahir-ul-Qadri
Garmi-o-sardi ke mit jaate hain sab jis se marz,
Lal lal ek aisi nikli hai dawa barsaat ki.
Author : Hasrat
Shaam-e-sar ma dilruba tha, subah-e-garma khush numa,
Dilruba tar, khush numa tar hai fiza barsaat ki.
Author : Hasrat
Moojib-e-soz-o-saroor-o-baais -e-aish-o-nishat,
Taazgi bakhsh-e-dil-o-jaan hai hawa barsaatki.
Author : Hasrat
Hawa pe daurta hai is tarah yeh abr-e-seah,
Ke jaise jaae koi feel -e-mast be zanjeer
Author : Zauq
Abr-e-neesaan yeh tunak bakhshi-e-shabnam kab tak,
Mere kohsaar ke laale hain tahi jaam abhi.
Author : Allama Iqbal
Hai hawa mein sharaab ki taasir,
Baada noshi hai baad-e-paimaai.
Author : Mirza Ghalib
Ghir ke aaj barsi hai ghata barsaat ki,
Maikadon mein kab se hoti thi dua barsaat ki.
Author : Hasrat
Sabza ko jab kahin jagah na mili,
Ban gaya roo-e-aab par kaai.
Author : Mirza Ghalib
Ghata bhi chhai hai, fasl-e-bahaar hai, Saqi
Ab iske baad tujhe ikhtiar hai, saqi.
Author : Nasikh
Ilahi khair ho, kaali ghataaon ne kiya maatam,
Suraahi maikada mein hichkiaan le leke roti hai.
Author : Maikash Kashmiri