Skip to main content

jab naam teraa pyaar se likhatii hai.n u.Ngaliyaa.N

jab naam teraa pyaar se likhatii hai.n u.Ngaliyaa.N 
merii taraf zamaane kii uThatii hai.n u.Ngaliyaa.N 

daaman sanam kaa haath me.n aayaa thaa ek pal 
din raat us ek pal se mahakatii hai.n u.Ngaliyaa.N 

jis din se duur ho gaye us din se hii sanam 
bas din tumhaare aane ke ginatii hai.n u.Ngaliyaa.N 

patthar taraash kar na banaa taaj ek nayaa 
fan_kaar kii zamaane me.n kaTatii hai.n u.Ngaliyaa.N 

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.