Skip to main content

ham-safar ban ke ham saath hai.n aaj bhii

ham-safar ban ke ham saath hai.n aaj bhii 
phir bhii hai ye safar ajanabii ajanabii 


raah bhii ajanabii mo.D bhii ajanabii 
jaaye.n ham kidhar ajanabii ajanabii 


zindagii ho ga_ii hai sulagataa safar 
duur tak aa rahaa hai dhuaa.N saa nazar 


jaane kis mo.D par kho ga_ii har Khushii 
deke dard-e-jigar ajanabii ajanabii 


hamane chun chun ke ti,nke banaayaa thaa jo 
aashiyaa.N hasarato.n se sajaayaa thaa jo 


hai chaman me.n vahii aashiyaa.N aaj bhii 
lag rahaa hai magar ajanabii ajanabii 


kisako maaluum thaa din ye bhii aaye.nge 
mausamo.n kii tarah dil bhii badal jaaye.nge 

din huaa ajanabii raat bhii ajanabii 
har gha.Dii har pahar ajanabii ajanabii 

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.