Skip to main content

Kal humesha ki tarah uss ne keha ye phone par..

Kal humesha ki tarah uss ne keha ye phone par..
“Main bahut masroof hun mujh ko bahut se kaam hain
Iss liye tum aao milne main toh aa sakti nahin”.
Har riwayat tod kar iss baar maine keh diya..
“Tum jo ho masroof toh main bhi bahut masroof hun..
Tum jo ho mash-hoor toh main bhi bahut maroof hun..
Tum agar ghumgeen ho main bhi bahut ranjoor hun..
Tum thakan se choor toh main bhi thakan se choor hun..
Jaan-e-man hai waqt mera bhi bahut hi keemati..
Kuchh puraane doston ne milne aana hai abhi..
Main bhi ab faarigh nahin, mujh ko bhi laakhon kaam hain..
Warna kehne ko toh sab lamhe tumhare naam hain..
Meri aankhen bhi bahut bojhal hain sona hai mujhe..
Ratjaggon ke baad ab neendon mein khona hai mujhe..
Main lahoo apni anaa’on ka baha sakta nahin..
Tum nahin aati toh milne main bhi aa sakta nahin”.
Uss ko ye keh ke ‘wasi maine reciver rakh diya,
Aur phir apni anaa ke paaon pe sar rakh diya …!!

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng