Skip to main content

Ab bhi uss ke khat aate hain…

Ab bhi uss ke khat aate hain…
Bheege bheege aur bheene jaadu mein lipte ..!
Mausam, khushboo, ghar walon ki baaten kar ke,
Apne dil ka haal sabhao se likhti hai ..!
Ab bhi uss ke sab lafzon se kachche jazbe phoot aate hain ..!
Ab bhi uss ke khat mein mausam geet sunaane lag jaate hain ..!
Ab bhi dhoop nikal aati hai baadal chhaane lag jaate hain ..!
Ab bhi uss ke jism ki khushboo haathon se ho kar lafzon tak,
Aur phir mujh tak aati hai ..!
Ab bhi uss ke khat mein aksar chaand ubharne lagta hai ..!
Shaam utre toh un lafzon mein sooraj doobne lagta hai ..!
Ab bhi uss ke khat padh kar mujh mein kuchh tootne lagta hai ..!
Ab bhi khat ke kone mein woh ek deep jalaati hai ..!
Ab bhi mere naam pe apne ujle honth bana deti hai ..!
Ab bhi uss ke khat aa jate hain..
Bheege bheege aur bheene jaadu mein lipte,
Ab bhi uss ke khat aate hain …!!

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.