Skip to main content

Iss bheegi shaam ke saaye mein,

Iss bheegi shaam ke saaye mein,
chupke se agar tum aa jaao ..!
Ye shaam suhaani ho jaaye,
rangeen kahaani ho jaaye ..!
Woh baat jo labb na keh sake,
aankhon ki zubaani ho jaaye ..!
Koi pyaar ka naghma tum chhedo,
koi pyaar ka geet sunaayen hum ..!
Haan pyaar karen yun hum dono,
ye raat suhaani ho jaaye ..!
Main baithun tere pehlu mein,
kuchh dil ki baaten ho jaayen ..!
Tum ungliyan phero mere baalon mein
hum meethi neend so jaayen ..!

Iss bheegi shaam ke saaye mein..
chupke se agar tum aa jaao …!!

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.