Skip to main content

Sab aane waale behla kar chale gaye,

Sab aane waale behla kar chale gaye,
aankhon par sheeshe chamka kar chale gaye.

Malbe ke neeche aa kar maloom hua,
sab kaise deewaar gira kar chale gaye.

Log kabhi lautenge raakh batorenge,
jungle mein jo aag laga kar chale gaye.

Main tha din tha aur ek lamba raasta tha,
sab kheme jab log utha kar chale gaye.

Chattaano par aa kar thehre do raaste,
phir aage ek raah bana kar chale gaye.

Barf mein rakhi thandi botal chipak gayi,
khauf dilon mein log dabaa kar chale gaye.

Jab do naali ne rukh phera sab ghaazi,
apne apne haath utha kar chale gaye.

Jaane kab dongon mein mehkenge taare,
kitne sooraj haath dhula kar chale gaye.

Gaare choone patthar ke dushman dekho,
aahan ki deewaar bana kar chale gaye. !!

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng