Skip to main content

Har ek baat na kyon zehar si humari lage,

Har ek baat na kyon zehar si humari lage,
ki hum ko dast-e zamana se zakhm kaari lage.

Udaasiyan hon musalsal toh dil nahin rota,
kabhi kabhi ho toh ye kaifiyat bhi pyaari lage.

Bazaahir ek hi shab hai firaaq-e yaar magar,
koi guzaarne baithe toh umar saari lage.

Ilaaj iss dil-e dard-aashna ka kya kijiye,
ki teer ban ke jise harf-e ghumgusaari lage.

Humare paas bhi baitho bas itna chaahte hain,
humare saath tabiyat agar tumhari lage.

‘Faraz tere ghum ka khyaal hai warna,
ye kya zaroor woh soorat sabhi ko pyaari lage. !!

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.