Skip to main content

Dukh dard mein humesha nikaale tumhare khat,

Dukh dard mein humesha nikaale tumhare khat,
aur mil gayi khushi toh uchhaale tumhare khat.

Sab choodiyan tumhari samundar ko saunp di,
aur kar diye hawaa ke hawaale tumhare khat.

Mere lahoo mein goonj raha hai har ek lafz,
maine ragon ke dasht mein paale tumhare khat.

Yun toh hain beshumaar wafa ki nishaaniyan,
lekin har ek shayy se niraale tumhare khat.

Jaise ho umar bhar ka asaasa ghareeb ka,
kuchh iss tarah se maine sambhaale tumhare khat.

Ahl-e hunar ko mujh pe ‘wasi aitraaz hai,
maine jo apne sher mein dhaale tumhare khat.

Parwaah mujhe nahin hai kisi chaand ki ‘wasi
zulmat ke dasht mein hain ujaale tumhare khat. !!

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng