Ghar se soch ke nikla hun ki mar jaana hai,
ab koi raah dikha de ki kidhar jaana hai.
Jism se saath nibhaane ki mat ummeed rakho,
iss musaafir ko toh raaste mein thehar jaana hai.
Maut lamhe ki sadaa zindegi umron ki pukaar,
main yahi soch ke zinda hun ki mar jaana hai.
Nasha aisa tha ki mai-khane ko duniya samjha,
hosh aaya toh khyaal aaya ki ghar jaana hai.
Mere jazbe ki badi qadar hai logon mein magar,
mere jazbe ko mere saath hi mar jaana hai. !!