Hum mangte jahez hain khairat ki tarah

Hum mangte jahez hain khairat ki tarah 
Toli bana k jate hain barat ki tarah

Larki jawan hote hi ab unke waldain
Ghar main hi rah raheN hain hawalat ki tarah

Muddat se mera name hai unki zuban per 
MilteN hai ab bhi pahli mulakat ki tarah

Mali ka yeh karam hai k her sal bagh main
katl O fasad deteN hain saughat ki tarah

Hum ko ukharteN hain k halki ho ye zamiN
Hum  ugh raheN hain jaise nabatat ki tarah

Basit nezam E naw mai yeh kaisi hai tirgi 
Raoushan tha shaher ab kharabat ki tarh