Skip to main content

Ajnabii apne qadamo.n ko roko zaraa,

 Ajnabii apne qadamo.n ko roko zaraa,
jaantii huu.N tumhaare liye Ghair huu.N,
phir bhii Thahro zaraa,
sunte jaao ye ashko.n bharii daastaa.N,
saath lete chalo ye mujassim fuGhaa.N,
aaj duniyaa me.n meraa ko_ii bhii nahii.n,
merii ammii nahii.n,
mere abbaa nahii.n,
merii aapaa nahii.n,
mere nanhe se maasuum bhaiyaa nahii.n,
merii ismat kii maGhruur kirane.n nahii.n,
vo gharondaa nahii.n jis ke saaye tale,
loriyo.n ke tarannum ko sunatii rahii,
phuul chuntii rahii,
giit gaatii rahii,
msukuraatii rahii
aaj kuchh bhii nahii.n,

merii nazaro.n ke sahme hue aa_iine,
merii ammii ke mere abbaa ke aapaa ke, 
aur mere nanhe se maasuum bhaiyaa ke Khuun se,
hai.n dahashat_zadaa,
aaj merii nigaaho.n kii viiraaniyaa.N ,
chand majaruuh yaado.n se aabaad hai.n,
aaj merii umango.n ke suukhe ka.Nval ,
mere ashko.n ke paanii se shaadab hai.n,,
aaj merii tarhaptii hu_ii siskiyaa.N,
ek saaz-e-shikastaa kii fariyaad hai.n,
aur kuchh bhii nahii.n,
bhuuk miTatii nahii.n,
tan pe kaprhaa nahii.n,
aas maaduum hai,

aaj duniyaa me.n meraa ko_ii bhii nahii.n,
ajnabii apne qadamo.n ko roko zaraa,
sunte jaao ye ashko.n bharii daastaa.N,
saath lete chalo ye mujassim fuGhaa.N,

merii ammii bano,
mere abbaa bano,
merii aapaa bano,
mere nanhe se maasuum bhaiyaa bano,
merii ismat kii Maghruur kirane.n bano,
mere kuchh to bano ,
mere kuchh to bano ,
mere kuchh to bano .

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.