Skip to main content

Tumhaari zulf ke saaye me.n shaam kar luu.nga

Tumhaari zulf ke saaye me.n shaam kar luu.nga
safar ik umr ka pal me.n tamaam kar luu.nga.

nazar milaayii to poochhuu.ngaa ishq ka anjaam
nazar jhukaayii to khaalii salaam kar luu.nga.

jahaane-dil pe hukuumat tumhe.n mubaarak ho
rahii shikast to wah apne naam kar luu.nga.

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.